Moam ki tarha pighlty howye daikha us ko
Rut jo badli to badalty howye daikha us ko,
Jany kis ghum ko chhupany ki tamanna hai usy
Aaj her baat par hansty howye daikha us ko,
Wo jo kanton ko bhi narmi se chhuwa karta tha
Hum nay phoolon ko masalty howye daikha us ko,
Najany woh duaon main mangta hai kissy
Haath uthaty he sisakty howye daikha us ko,
Tb haath dua k liye uthaaye hum nay
Jab muqaddar say ulajhty howye daikha us ko.
No comments:
Post a Comment