Zaalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi,


Zaalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi,
Majabur the ham us se muhabbat bhi bahut thi,

Us but ke sitam sah ke dikhaa hi diya ham ne
Go apani tabiyat main bagawat bhi bahut thi,
 
Waaqif hi na tha ramz-e-muhabbat se wo warna
Dil ke liye thodi si inaayat bhi bahut thi,
 
Yun hii nahin mashhur-e-zamaana mera qaatil
Us shaKhs ko is fan main mahaarat bhi bahut thi,
 
Kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahu dil main bahut tha
Sur dil ko lahu karane ki fursat bhii bahut thi,
 
Har shaam sunaate the hasinon ko Gazal ham
Jab maal bahut tha to saKhawat bhii bahut thi,
 
Bulawa ke ham 'Ajiz' ko pasheman bhii bahut hain
Kya kijiye kam_baKht ki shoharat bhi bahut thi.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...