Ye kya kay sab say bayaan dil ki haalatain karni,


Ye kya kay sab say bayaan dil ki haalatain karni
'Faraz' tujhko na aain mohabbatain karni,

Ye qurb kya hai kay tu saamnay hai aur hamain
Shumaar abhi se judaai ki sa'atain karni,

Koi Khuda ho kay pathar jisay bhi hum chaahain
Tamaam umr usi ki ibaadatain karni,

Sab apnay apnay qareenay say muntazir us kay
Kisi ko shukr kisi ko shikaayatain karni,

Hum apnay dil se hain majbuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamatain karni,

Milain jab un say to mubaham si guftagu karna
Phir apnay aap se sau-sau wazaahatain karni,

Ye log kaisay magr dushmani nibhaatain hain
Humiin ko raas na aain mohabbatain karni,

Kabhi 'Faraz' naye mausamon main ro dena
Kabhi talaash puraani raqaabatain karni.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...