Chaman Ka Haal Tu Yeh Hai K Khaak Urti Hai


Chaman Ka Haal Tu Yeh Hai K Khaak Urti Hai
Kidhar Se Hoke Baharoon Ke Karwan Guzray,

Diyar-e-YaarSara Safar Anokha Tha
Kadam Kadam Pe Naya Deyke Imtihan Guzray,

Saba Bhi Aai Tu Phooloon Ke Mooh Jholas K Gai
Yahan Se Aber Bhi Barsa K Bijliyaan Guzray,

Jo Chup Rahein Tu Malamat Karay Zamir Humein
Khari Khari Jo Kahein �� Aap Ko Giraan Guzray,

Guzarnay Ko Tu Musibat K Din Guzar Hi Gaye
Baray Hi Gehray Mager Chor Kar Nishaan Guzray,

Sahi Gayin Na Tagaful Ki Chand Nazrein Bhi
Hain Sharamsar K Is Dil Main Kia Gumaan Guzray,

Kabhi Tu War Raqeeboon K Day Gaye Hain Maza
Kabhi Tu Piyaar Azizoon K Bhi Giraan Guzray,

Aye Dil Sambhal K Kisi Ko Hisab Dayna Hai
Ke Zindagani Ke Lamhay Kahan Kahan Guzray.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...