Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo


Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo
Kam to pehle bhi nahin aur to ruswaa na karo,

Kabhi jugnu, kabhi taarey, kabhi nargis keh kar
Tum meri aankhon ko is tarah chairra na karo,

Bhaamp* jaye na kahin dil ki lagi yeh dunyaa
Yu’n shafaq ban ke mere chehre pe thehra na karo,

Baat choti si bhi afsaana bana deti hai
Tum kitaabon pe mere naam ko likha na karo,

Hai ibaadat ki tarah naam tumhara bhi mujhe
Tum saheefey ki tarah tum mujhe socha na karo,

Dil ko bechain sa karti hain tumhari aankhain
Raat ko der talak tum mujhe socha na karo,

Saamney sab ke kare kis tarah iqraar Batool
Yu’n sar-e-bazm to is se yeh taqaaza na karo.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...