Mohabbat Paglon ki Guftugo....

Negahein Bholti hay be tahasha 
Mohabbat Pagalon ki Guftugo hain.

Pyar Aur Barish.......

Pyar Aur Barish Dono Ek Jaise Hote Hay
Wo Humesha Yadgar Hote Hay
Fark Sirf Itana Hai Ki Barish
Sath Rah Kar Tan Bhigati Hai
Aur Pyar Door Rahkar Aankhe.

Roz-o-Shab Ke Mele Mein,

Roz-o-Shab Ke Mele Mein
Ghaflaton Ke Maare Log
Shayad Yahi Samajhte Hain
Hum Ne Jisko Dafnaya Tha
Bass Usi ko Marna Tha.

Mohabbat Ka anjam Poetry,

Younhi ajnabi na bana karo, kabhi muskura ke mila karo
Kabhi sun to lo mera haal-e-dil, kabhi mujh se koi gila karo,

Teri ik nazar teri ik adaa, mere dil ko kar diya la-pata
Mere dosto, mere ham-nawa, mere dil ka koi pata karo,

Mere saamne hai safar hasee'n, mujhe manzilon ki khabar nahin
Meri manzilon ka nishaan ho tum, younhi mere saath chala karo,

Yeh jo ishq hai, yeh hai la-dawa, yeh hai dard jis ka hai ik maza
Mujhe ishq hai mere dard se, mere dard ki na dawa karo,

Yeh tareeq-e-ishq hai kuch to ho, ya wafa karo, ya jafa karo
Koi faisla mere mehrbaan, koi rasm tum bhi ada karo,

Na hi zeest ka koi raasta, na hi khud-kashi ka hai hosla
Mujhe pyaar do, mujhe maar do, koi kaam tum bhi kiya karo.

Kaash,

Sta da stargon na che rashi anangon ta 
Kaash che dagha khushqismata okhki za wey

Mohabbat

Mohabbat bhi tu aik tara ki siyasat hoti hay
Jeet gaye tu badshah haar gaye tu qaid e tanhai

Neend Nahi aati

Neend nahi aati apnay gunaho k dar se ya rab
Phir sakoon se so jata hon k tera aik naam raheem bhi hay

Lafzon ki tamheed, Romantic Andaz e shairy,

Lafzon ki tamheed mujhay bandhni nahi aati
Kasrat se yaad aatay ho seedhi si baat hay.

Heart Touching Poetry,

Bas....... Tumhein na sochon tu bach sakta hon
Tabeeb ne ye aakhri dawa, hath jorr kar batai hay.

Dukh Dy Kar Sawal Karte Ho

Dukh Dy Kar Sawal Karte Ho
Tum Bhi Ghalib Kamal Karte Ho,

Daikh Kr Poch Liya Hal Mera
Chalo Kuch To Khyal Karte Ho,

Marna Chahen To Mar Nahe Sakte
Aise Jeena Muhal Karte Ho,

Ab Kis Kis Ki Misal Don Tum Ko
Har Sitam Be-Misal Karte Ho.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...