Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishain Bhi Shumar Karna
Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishain Bhi Shumar Karna
Jo Mere Hisse Mein Aai Hain Wo Aziyatein Bhi Shumar Karna
Jalaye Rakhon Gi Subha Tak Mein Tumhare Raston Mein Apni Aakhein
Magar Kahin Zabat Toot Jaye To Barishein Bhi Shumar Karna
Jo Harf Looh-E-Wafa Pe Likhe Hue Hain Un Ko Bhi Dekh Lena
Jo Raaigan Ho Gain Wo Sari Ibadatein Bhi Shumar Karna
Ye Sardiyon Ka Udas Mausam Ke Dharkanein Baraf Ho Gayn
Jab Un Ki Ykh Bastagi Parakhna, Tamazatein Bhi Shumar Karna
Tum Apni Majboorion Ke Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se
Jo Meri Aankhon Mein Jal Bujhi Hain Wo Khwahishein Bhi Shumar Karna.
Heart Touching Urdu Poetry,
Hamen to Saath ChaLna Thha
Hamen to Saath Rehna thha
Tumhen aik Ghar banana thha
Mujhe jis ko Sajana thha
Sunehri JaaLion se Lag k Tera Intezaar Karna thha
Agar Tum der sey Aatey to
Mujhe ko Rooth Jana thha
Tumhen Mujh ko Manana thha
PaharoN per PighaLti Baraf ki manand
Mujhe Dheerey se Hansna thha
Bohat si Un Kahi Baaton ko
Hum ne Lufz deney thay
Kabhi Barish k Mosom mein arang Sun k
Kaye Nazmen tumhen apni
Mujh se Mansoob karna theen
Abhi to tum ne mujh ko
Baansri k Sur sikhaaney they
Hamen to Saath ChaLna Thha
Hamen to Saath Rehna thha.
Laash Hoon Main Ab Dafna Bhi Dalo
Laash Hoon Main Ab Dafna Bhi Dalo
Yahi Aakhri Rasam Bachi Hai Use Nibha Dalo
Na Honge Hum Fir,Na Humari Yaaden
Vo Saare Lamhe Saare Manzar Aaj Meri kabar Me Mila Dalo
Maar To Diya Tha Bahut Pahle Hi Zindagi Ne Humko…
Aaj Mere Sapno,Meri Khwahishon Ko Bhi Mere Sang Dafna Dalo
Ab Yahi Aakhri Rasam Bachi Hai Use Nibha Dalo.

Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai
Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai
Ab koi Raah dikha de k kidhar jana hai
Jism se sath nibhane ki mat umeed rakho
Is musafir ko to Rastay mein theher jana hai
Nasha aesa tha k Maikhane ko duniya samjha
Hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai
Mere jazbe ki bari qadar hai logon mei magar
Mere jazbe ko mere sath he mar jana ha.

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai
Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai
Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein
Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai
Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani
Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai
Bichhar k us se main bas es liye nahi bikhra
Wo keh gaya tha yehi waqt terey imtehaan kahai.

Mere galay lag k wo rota raha dair tak
Mere galay lag k wo rota raha dair tak
Wo ja raha tha Main usay bulata raha dair tak
Meri sadaaen lot aein ASMAN se takra kr
Main paglon ki tarha chillata raha dair tak
Usey na rok saka or wo chala hi gaya
Pathrai ankhon se usey dekhta raha dair tak
Wo ankhon se ojhal hua to main hosh me aaya
Un veeran rahon me usey khojta raha dair tak
Wo kehta tha waqt-e- rukhsat roya nahi krtey
"SAKI"
Uski khushi k liye muskrata raha dair tak.

Urdu Picture Poetry, Sad Picture Poetry, Heart Touching Poetry, Images Poetry, New Picture Poetry,
Kisi Aur Ko Meray Haal Se Na Gharz Hay Na Koi Wastaa
May Bikhar Giya HOn Samait To, Bigarr Giya HoOn Sanwaar Do.
May Bikhar Giya HOn Samait To, Bigarr Giya HoOn Sanwaar Do.
Wo Jo Hath Bhar Ka Tha Fasila,
Wo jo hath bhar ka tha fasila kai mosamo main badal gaya
Usay nafthay, Usay kat'thay mera sara waqt guzar gaya.
Sabhi ko chod kar khud par bharosa kar liye mene
Wo main jo mujme marne ko tha zinda kar liye mene,
Muje us par utarne ki jaldi hi aisi thi
Jo kastii mili uspar bharosa kar liye mene,
Wo kya jane muhabbat ki badi keemat chukai hai
Khilaf apne bahut din to jamana kar liya mene,
Muje yeh khof de malik muji par nazar teri hai
Bas itna hi ni kafi ki sajda kar liye men.
Mere galay lag k wo rota raha dair tak
Mere galay lag k wo rota raha dair tak
Wo ja raha tha Main usay bulata raha dair tak,
Meri sadaaen lot aein Asmam se takra kr
Main paglon ki tarha chillata raha dair tak,
Usey na rok saka or wo chala hi gaya
Pathrai ankhon se usey dekhta raha dair tak,
Wo ankhon se ojhal hua to main hosh me aaya
Un veeran rahon me usey khojta raha dair tak,
Wo kehta tha waqt-e- rukhsat roya nahi krtey "SAKI"

Subscribe to:
Posts (Atom)