Kanton Ki Wo Baarh Thi Jinse Guzarna Para

Kanton Ki Wo Baarh Thi Jinse Guzarna Para
Oron Ki Khatir Mujhe Aise Bikhar Na Para,

Halki Hui Roshniiii Zakhmi Hui Zindagi
Main Gunehgar Nahi Main Gunehgar Nahi.

Aashiqi De Zu Ghazalo Ta Mohtaaj Kram

Aashiqi De Zu Ghazalo Ta Mohtaaj Kram
Yaara Husan De Katalo Ta Mohtaaj Kram,

Pa Jwandoon Kho Me Zharali Chere Na Di
Kho Bas Nan De Zharedalo Ta Mohtaaj Kram.

Khudaya Sumra khkuly wakht wo

Khudaya Sumra khkuly wakht wo
Baidar shway zama bakht wo
Sa khista ghundi doran wo
che rakary de janan wo
Na pa zra me sa gham wo
Na khbar rana alam wo
Mung ba patta Yare krala dunya kala pohedala
Shpe ao orazw teredale Bus hum daa ba ye waile
Tha me jaan ta me janan ye
Da har cha na rata gran ye
Da zra kor ke me Osege
Yao lahza me na herge
Tha zama da zargi KHAN ye
Bus yeo ta zama janan ye
Gul warina gul ghutty wa.

Urdu Sadest Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu New Poetry, Latest urdu Poetry, Sad Poetry, Heart Touching Ghazal,

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai,

In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain,

In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain,

Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai,

Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai,

Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho,

Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?.

Dard e Dil Poetry, Urdu Sadest Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu New Poetry, Latest urdu Poetry, Sad Poetry,

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye,

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye,

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye,

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye,

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye,

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye,

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye,

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye.

Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Heart Touching Urdu Ghazal, Ghazal Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu New Ghazal, Latest Ghazal,


Tumhaari yaad kay jab zakham bharney lagtey hain
Kisi bahaaney tumko yaad karney lagtey hain,

Hadees-e-yaar kay unwaan nikharney lagtey hain
Toh hareem mai gaisoo sanwarney lagtey hain,

Her ajnabi humein mehram dikhaai daita hai
Jo ab bhi teri galli say guzarney lagtey hain,

Saba say kartey hain ghurbat naseeb zikr-e-watan
Toh chashm-e-subah mai ansoo ubharrney lagtey hain,

Wo jab bhi kartey hain us nuqta lab ki bukhiya giri
Fiza mai aur bhi naghmey bikharney lagtey hain,

Dar-e-qafas pay andheray ki mohor lagti hai
Toh Faiz dil mai sitaarey utarney lagtey hain.

Israr Atal, Israr Atal Poetry, Atal Poetry, Da Israr Atal Shairy,

Stare zarge da Moor pre waran she
khal o Orbal da khor pre waran she,

Rok sha jeydada Ror pre waran she
Sarey Che mar she Kor pre waran she.

Iqbal Poetry, Allama Iqbal, Allama iqbal Poetry, Urdu Poetry by Allama Iqbal, Iqbal Picture Poetry,


Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya
Maazi Toh Sunehra Hai Magar Haal Kho Gaya,

Woh Rob-o-Dabdaba Woh Jalal KhoGaya
Woh Husn Be-Misal Woh Jamal Kho Gaya,

Doobay Hain Jawabon mein Par Sawal Kho Gaya
Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya,

Urhtay Jo Fizaon mein Thay Shaheen na Rahay
Bazauq Na Rahay Zaheen Na Rahay,

Pakeeza Ghar na Rahay Ba Deen naRahay
Woh Lala-o-Gulzaar Woh Meh Jabeen Na Rahay,

Momin Ka Woh Andaaz-e-Bakamal Kho Gaya
Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya.

Allama Iqbal Poetry, Iqbal Urdu Poetry, Urdu peotry By Allama Iqbal, Allama Iqbal, Iqbal Poetry with Image,


Urdu Romantic Poetry, Romantic urdu Poetry with Romantic Pictures, Romantic Pictures, urdu Latest Poetry, New urdu Poetry, Urdu Shairy,


Bheer me ik ajnabi ka saamna acha laga
Sab se chup kar wo kisi ka dekhna acha laga

Surami ankhon k neechay phool se khilnay lagay
Kehty kehty kuch kisi ka sochna acha laga

Baat to kuch b na thi liken uska ik dum
Haath ko honton pe akh kr rokhna acha lagaa

Dil me kitnay ehad bandhy thy bhulanay k usy
Wo mila to sab iraady torna acha laga

Us dushman e jaan ko main bura kaisay kahoon ?
Jab bhi aya saamny wo bewafa acha laga.

Urdu Heart TouchingPoetry, Heart Touching Poetry, Urdu Ghazal, Romantic But Sad Ghazal,

Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochen gae
Tujh mein kya kya dekha hai, waqt mila to sochen gae,

Sara sheher shanasai ka , dawedar to hai lekin
Kon hamara apna hai , waqt mila to sochen gae,

Hum ne usko likha tha , kuch milne ki tadbeer karo
Us ne likh ker bheja hai , waqt mila to sochen gae,

Mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mein
Kon Tumhare jaisa hai ,waqt mila to sochen gae,

Ya to apne dil ki mano , ya phir duniya walon ki
Mashwara uska acha hai ,waqt mila to sochen gae.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...