Pakhtoon Zalmay, Pashto Poetry,


Pukhton zalmay yem ph zigar rala oor mh balawa
Za la jwanday yma ph sar rala oor mh balawa,

Da husan zoor dh wakht ameer ao dh hasty malika
Da miny fasal yem ph sar rala oor mh balawa,

Da rub rakari jor zargi ky darla kor darkaom
Za mirategam ph kandar rala oor mh balawa,

Stargy dy mh arawa stargo ta dy jwand teraom
Ma kawa kena ph nazar rala oor mh balawa,

Za dabarwal yem tola oraz dh mazigar ph tama
Zalima preda ph godar rala oor mh balawa.

Israr Atal, Israr Atal Poetry,

Da PEKHAWAR kho kala cha pase jarale na wo
Sa bala Sahwe pa de Khar, Har wakhte ta Yadawe,

Us Hum Pa Kali ki da Mato Bangro Zikar kege
Hagha Godar Hagha Chinar har wakhte ta Yadawe,

Sa Lewaney de da Zra Yo khabara Na Ghurzawe
Ta na Khafa de Kho ISRAR har wakhte ta Yadawe.

Mere is dil ki keetabon ki tarha, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Beautiful Images,

Mere is dil ki keetabon ki tarha
Puchtey hain wo bhi sawal jawabon ki tarha,

Wo agar kholtey hain pani ki tarha
To hum bhi jaltey hain aaftabon ki tarha,

Wo koi phool ho nahi saktey
Unki khushboo hai sharabon ki tarha,

Dil mai aata hai unka ho jaoon
Mai bhi gulshan ke gulabon ki tarha,

Unse rakhta hoon mai dua e kher
Unse rishta hai mera janabon ki tarha,

Wo unke hont surkh sholo se ’shamsh
Dekhney mai hain kababon ki tarha.

Ahmed Faraz Poetry, Faraz Poetry,

Wafa ki qadar tu aaj bhi bhoht hay Faraz
Faqt mett chokay hain toot k chahne walay.

Heart Touching Poetry

Qeemati Chaadrain Mazaro'n Par Daal Dety Hain
Ez'zatian Be Hijab Phirti Hain Bazaaro'n Main.

Romantic Poetry, Romantic Pictures, Urdu Poetry, Romantic Urdu Picture Poetry,

Phir Se Ho Rahi Thi Mohabbat Unhen Mujh Se
Na Khulti Aankh Tu Wo Mera Ho Chuka Hota.

Romantic Urdu Poetry,

Sun li jo khuda ne woh dua tum to nahin ho
Darwaazey pe dastak ki sadaa tum to nahin ho,

Simtti huyi sharmaayi huyi raat ki raani
Soyi huyi kaliyon ki hayaa tum to nahin ho,

Mehsoos kiya tum ko to geeli hui palkein
Bheegey huye mausam ki adaa tum to nahin ho,

In ajnabi raahon mein nahin koi bhi mera
Kis ne mujhe yun apna kaha, tum to nahin ho.

Hamza Baba Poetry,

Za Hamza ba Khaply Zalfay tr pa tr kam
Jal da Zalfo Khwarava, paky ma gora,

Za ba hum da aaeny sara mashghol yam
ta hum zan sengharawa paky ma gora,

Za Hamza ba khpal Zargy toty toty kam
Ta hum Zrona matawa paky ma gora,

Za ba hum da shpy pa storo k ta goram
Ta hum stori latawa paky ma gora.

Heart Touching Poetry,

Maar Hi Daal Mujhe Chasm-E-Adaa Sey Pehlay
Apni Manzil Ko Pohunch Jaon Qaza Sey Pehlay,

Ik Nazar Dekh Loon Aa Jaao Qaza Se Pehlay
Tum Sey Milney Ki Tamanna Hai Khuda Sey Pehlay,

Hashr K Roz Main Poochoon Ga Khuda Sey Pehlay
Tu Ney Roka Nahi Kiyun Mujh Ko Khata Sey Pehlay,

Ay Meri Mout Thahar Un Ko Zara Aaney Dey
Zahar Ka Jaam Na Dey Mujh Ko Dawa Sey Pehley,

Haath Pohnchey Bhi Na Thay Zulf Dota Tak "Momin"
Hathkarri Daal Di Zaalim Ney Khata Sey Pehlay.

Garmi-E-Hasrat-E-Nakaam Say Jal Jatay Hain

Garmi-E-Hasrat-E-Nakaam Say Jal Jatay Hain
Hum Charaaghon Ki Tarha Shaam Say Jal Jaatey Hain,

Bach Nikaltey Hain Agar Aatish-e-Sayyad Say Hum
Sholaa-e-Aatish-e-Gulfaam Say Jal Jaatey Hain,

Khud_Numaai To Nahi Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Say Jal Jaatey Hain,

Shamma Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish Kay Liye
Hum Usi Aag Mein Gum_Naam Say Jal Jaatey Hain,

Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Meray Naam Kay Saath
Jaaney Kiyon Log Meray Naam Say Jal Jaatey Hain,

Rabt-e-Baaham Pay Humein Kiya Na Kahein Gay Dushman
Aashnaa Jab Teray Paighaam Say Jal Jaatey Hain.

Heart Touching Images Poetry,

Wo bewafa na tha younhe badnam hogaya
Hazaron chahne walay thay kis kis se wafa karta

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...