Bura na maan agar may tujhko pyaar karta hon...

Bura na maan agar may tujhko pyaar karta hon
Gunah kon sa aisa may yaar karta hon,

Meri khaton may meri samajh ka nahi koi dakhal
May jo b karta hon, Be ikhtyaar karta hon,

Tu kitnay pyaar k qabil hay kya khabar mujh ko
K may tu jitna bhi mumkin hay pyaar karta hon,

Wo ghair ho ya sajan koi bhi ho magar us say
May tera tazkara deewana war karta hon,

KHUDA ki dunya say itni MOHBBAT nahi hay shayed
KHUDA k aik banday ko may jitna pyaar karta hon.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...