Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein, Urdu Ghazal, Ghazal Poetry, Sad Porty,

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein
Use Uski Saheliyon Ne Sajaya Hoga,

Meri Jaan Ke Gore Haathon Per
Sakhiyon Ne Mehndi Ko Lagaya Hoga,

Bahut Gehra Chadega Mehndi Ka Rang,
Us Mehndi Mein Usne Mera Naam Chupaya Hoga,

Reh Reh Ker Ro Padegi
Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga,

Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Mein,
To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga,

Lag Rahi Hogi Balaa Si Khubsorat Woh,
Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga,

Aaj Meri Jaan Ne
Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga,

Usne Beti Hone Ka
Doston Aaj Har Farz Nibhaya Hoga,

Majboor Hogi Woh Sabse ziyada
Sochta Hoon Kis Tarah Usne Khud Ko Samjhaya Hoga,

Apne Haathon Se Usne
Hamare Piyar Ke Khaton Ko Jalaya Hoga,

Khud Ko Mazboot Bana Ker Usne
Apne Dil Se Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga,

Toot Jaayegi Tasveer Meri
Jab Uski Maa Ne Tasveer Ko Table Se Hataya Hoga,

Ho Jaayenge Laal Mehndi Waale Haath
Jab Un Kaanch Ke Tukron Ko Usne Uthaya Hoga,

Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Mein
Kuch Na Us Pagli Ne Mere Bageir Khaya Hoga,

Kaise Sambhala Hoga Khudko
Jab Use nikah Ke Liye Bulaya Hoga,

Kaampta Hoga Jism Uska
Haule Se Papa Ne Haath Uska Kissi Or Ko Pakraya Hoga,

Mein To Majboor Hoon Pata Hai Use
Aaj Khud Ko Bhi Bebas Sa Usne Paaya Hoga,

Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega Uska,
Jab Waqt Uski rukhsati Ka Aaya Hoga,

Bare Pyaar Se Meri Jaan Ko
Maa Baap Ne Doli Mein Bithaya Hoga,

Ro Padegi Rooh Bhi
Dil Bhi Cheekha Or Chilaya Hoga,

Aaj Apne Maa Baap Ke Liye
Usne Gala Apni Khushiyon Ka Dabaya Hoga,

Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse
Darr Hai Ki Zehar Chupke Se Usne Khaya Hoga,

Doli Mein Baithi Ik Zinda Laash Ko
Char Kandho Per Kaharon Ne Uthaya Hoga,

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...