Mere ansuoon pe nazar na kar
Mera shikwa sun ke Khafa na ho,
Use zindgi ka bhi haq nahi
Jise dard-e-ishq mila na ho,
Ye inayatain ye nawazishain
Mere dard-e-dil ki dawa nahi,
Mujhe us nazar ki talash hai
Jo ada shanas-e-wafa na ho,
Tujhe kya bataon mai beKhabar
Ki hai dard-e-ishq main kya asar,
Ye hai wo latif si kaifiya
Tu jo zuban tak aye ada na ho,
Ye sharab rez-e-hasi ghata
Jo hai "Kaif" nazish-e-maykada,
Kisi tashna-kam ki arzoo
Kisi tashna-lab ki dua na ho.
Mera shikwa sun ke Khafa na ho,
Use zindgi ka bhi haq nahi
Jise dard-e-ishq mila na ho,
Ye inayatain ye nawazishain
Mere dard-e-dil ki dawa nahi,
Mujhe us nazar ki talash hai
Jo ada shanas-e-wafa na ho,
Tujhe kya bataon mai beKhabar
Ki hai dard-e-ishq main kya asar,
Ye hai wo latif si kaifiya
Tu jo zuban tak aye ada na ho,
Ye sharab rez-e-hasi ghata
Jo hai "Kaif" nazish-e-maykada,
Kisi tashna-kam ki arzoo
Kisi tashna-lab ki dua na ho.
No comments:
Post a Comment