YE HIJR ABI TAK JARI HAY...

Ye PehLey Hijr Ka Qissa Hy
Go Aaj k Din Ki ßaat Nhi
Kuch Umar B Thi Deewanon Si
Kuch ChaaL B Thi Mastanon Si
Hathon Me PhooL Sjatey Thay
Sajj Dhajj Kr College Jaatey Thay
Kb Itne Seedhey Saade Thay
Us Waqt To Hum Shehzadey Thay
Phir Ik Chehra Humain ßhaa Sa Gya
Nazdeek Wo DiL k Aa Sa Gya
Phir Wo Tha Or Batain Us ki
Din Sab Us k Ratein Us ki
Phir Aisa Bichra MiLa Nhi
Is DiL ka PhooL Phir KhiLa Nhi
Phir Us k Bad Jo Log MiLey
Is DiL ko Jitney Rog MiLey
Har Saans Usi k Nam Rahi
Har Shaam Usi ki Shaam Rahi
Ye PehLey Hijr ka Qissa Hy
Jo Aaj B hum pe taari hy

YE HIJR ABI TAK JARI HAY

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...