Shehr-e-dil ki galion main Sham se bataktey hain,


Shehr-e-dil ki galion main
Sham se bataktey hain
Chand key tamanai
Beqarar sudaee
Dil gudaz tareeki
Jaan guzad tanhai
Rooh-O-Jaan ko dasti hey
Rooh-O-Jaan main basti hey
Shehr-e-dil ki galion main
Taak-e-shab Ki beeloun Per
Shabnameen sarshikoun per
Beqarar logoon ney
Beshumar logoon ney
Yaad gar churi hey
Itni baat thuri hey
Sad hazar batein thin
Heela-e-Shika-e-baee
Sooratoun kay zaibai
Kaamatoun ki raanai
In seyaah ratun main
Eik bhi na yaad aei
Jaaa bajaa bhataktey hain
Kis Ki Rah taktey Hein
Chand ke tamanai
Yea nagar kabhi pehley
Is qader na weeraan tha
Kahney waley kahtey hein
Kareeya aa nigaran tha
Khair apney jeeney la
Yea bhi eik samaan tha
Ajj Dil main weraani
Abar ban key girh aei
Ajj dil ko kiya kahiye
Ba wafaa na harjai
Phir bhi loog dewaney
Aa gey hain samjaney
Apni wehshat-e-dil
Apni wehshat-e-dil key
Bun liey Hain afsaney
Khush khyaal dunya ney
Germiyaan tu jati Hain
Yea rutein bhi ati Hain
Jab malool ratun main
Dostoon ki batun main
Jee na chein paey ga
Aur doob jaey ga
Ahatun sey gonjey ge
Shehar-e-dil Ki pehnai
Aur chand ratun main
Chandni key shedaee
Her bahaney niklein gey
Azmaney niklein gey
Arzu ki geraee
Dhondney ko ruswai
Sard sard ratun ko
Zard chand bakhshey ga
Be-hisaaab tanhai
Be hejaab tanhai
Chand kay tamanai

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...