Chalo kuch dair hanstey hain, Urdu Beautiful Ghazal Poetry,

Chalo kuch dair hanstey hain
Mohabbat per inayat per
K be bunyad batain hain
Sabhi rishtay sabhi naatey
Zarurat ki hain Ejaaden
Kahin koi nahi marta kisi k wastay jaana
K sub hai phair lafzon ka
Hai saara khel harfon ka
Na hai mehbob koi bhi
Mohabbat na zmaney main
Pra'ey bhi hain phir apney
Agr hai kuch khzaney main
K is jazbay pay ab aksar sabhi jumlay say kastay hain

Chalo kuch dair hanstay hain

Usi ko yad krtay hain
Jisay hum zeest kehtey thay
K lena saans bin jis k hamain ek jurm lagta tha
K sung jis k her ek lamha khush-o-khurm lagta tha
Jisay hum zindgi kehtey
Jisay thay sha'iry kehtey
Ghazal ka Qafiya tha jo
Nazm ka jo k unwan tha
Wo lehja jb bdalta tha qyamat khez lagta tha
Waqt say agay chalta tha
Bla ka tez lagta tha
Jo saya bun k rahta tha
Juda ab is k rastay hain
Chalo kuch dair hanstay hain
Chalo kuch dair hanstay hain.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...