Faiz Ahmed Faiz, Faiz Ahmed Faiz Poetry, Faiz Poetry, Urdu Poetry, Sad Pictures,


Ham par tumhaari chaah kaa ilzaam hi to hai
Dushnaam to nahi hai ye ikaraam hii to hai,

Karate hai.n jis pe taa'n, koi jurm to nahi.n
Shauq-e-fuzul-o-ulfat-e-nakaam hi to hai,

Dil muddai ke harf-e-malaamat se shaad hai
Ae jaan-e-jaan. ye harf teraa naam hi to hai,

Dil naa-ummid to nahi, na-kaam hi to hai
Lambi hai Gam kii shaam, magar shaam hi to hai,

Dast-e-falak me, gardish-e-taqadir to nahi
Dast-e-falak me, gardish-e-ayyaam hi to hai,

Aakhir tu ek roz karegi nazar wafaa
Wo yaar-e-Khush_Khasaal sar-e-baam hi to hai,

Bhigi hai raat 'Faiz' Gazal ibtidaa karo
Waqt-e-sarod dard kaa ha.ngaam hi to hai.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...