Kuch To Ehsaas-e-Ziyaan Tha Pehle
Dil Ka Yeh Haal kahaan Tha Pehle,
Ab To Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar
Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Pehle,
Safar-e-Shaoq K Far_Sang Na Pooch
Waqt Beqaid-e-Makaan Tha Pehle,
Yeh Alag Baat K Gham Raas Hai Ab
Is Mein Andeshaa-e-Jaan Tha Pehle,
Yoon Na Ghabraaye Howe Pherte The
Dil Ajab kunj-e-Aamaan Tha Pehle,
Ab Bhi Tu Paas Nahi Hai Lekin
Is Qadar Door kahaan Tha Pehle,
Dere Daale Hain Bagolon Ne Jahaan
Us Taraf Chashm-e-Rawaan Tha Pehle,
Ab Woh Dariyaa Na Basti Na Woh Log
kiya Khabar kon kahaan Tha Pehle,
Har Kharaba Yeh Sadaa Detaa Hai
Main Bhi Aabaad Makaan Tha Pehle,
kiya Se kiyaa Ho Gai Duniyaa Piyaare
Tu Waheen Par Hai Jahaan Tha Pehle,
Hum Ne Abaad kiyaa Mulk-e-SuKhan
kaisa SunSaan Samaan Tha Pehle,
Hum Ne BaKhshi Hai Khamoshi ko Zubaan
Dard Majboor-e-Fughaan Tha Pehle,
Hum Ne Roshan kiyaa Maamoor-e-Gham
Warnaa Har Simt Dhuwaan Tha Pehle,
Gham Ne Pher Dil ko Jagaayaa Nasir
Khaanaa-Barbaad kahaan Tha Pehle.