Wo jo mehv thay sare aina

Wo jo mehv thay sare aina, pas e aina bhi to dekhte
Kabi roshni myn wo tergi ko chupa hua b to dekhte,

Sar e aab jo raha tashna lab, to ye zabt e gham ki hay inteha
Mere hal pay thay jo nukta cheen, mera hosla bi to dekhte,

Wo utar gaye thay jo paar khud, mujhay beehch behar main chorr kar
Tha jo un main itna hosla mujhay doobtha b tu dekthay,

Jinhayn muj say hy ye gila k myn raha be nayaz e khuloos o rab
Mere gird rasm o rawaj ka kabi dayera bi to dekhte,

Wo meri hansi say hayn khush guman, k nishat e zeest hay muda'aa
Mery ashq e gham ka wo ruka hua kabi qafila bi to dekhtejaun elia,

Hon saza k baad b nohtaram, tu hain  h airaton me ye log kyon
Zara zehr-e-haq ka meri tarah kabhi zaiqa bh tu dekhtay,

Wo bhoht he sehal samajh rahay thay meri tishnagi se mout ko
Mere jism se tooti saans k, wo rabata bhi tu dekhtay.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...