Meri Aankhoon Main Aansu Aaye Na Hote


Meri Aankhoon Main Aansu Aaye Na Hote
Woh Humein Dekh Kar Muskuraye Na Hote,

Sochti Hoon Aksar Tanhai Mein Main
Meri Zindagi Main Kash Woh Aaye Na Hote,

Na Tadapte Hum Unke Liye Itna
Dil Ne Khawab Unke Sajaaye Na Hote,

Na Toot Kar Bikharti Main Iss Kadar
Kash Woh Mere Dil Main Apna Ghar Banaye Na Hote.

RomanticUrdu Poetry, Urdu Romantic Poetry, Urdu Poetry, Romantic Pictures, RomanticPicturs Poetry,


Waqt Se Waqt Ki Kya Shikayat Karein
Waqt Hi Na Raha Waqt Ki Baat Hai,

Usne Dekha Mujhe Usne Chaha Mujhe
Usna Thukra Diya Waqt Ki Baat Hai,

Koi Mushkil Padi Koi Kaam Aa Gaya
Zehan Mein Uske Jo Mera Naam Aa Gaya,

Baad Muddat Ke Woh Doston Ki Tarah
Hum Se Hus Ke Milla Waqt Ki Baat Hai,

Zindagi Hum Se Anjaan To Ho Gayi
Ek Rishte Ki Pehchaan To Ho Gayi,

Koi Chahat Na Thi Bas Murrawatt Thi
Woh Khud KO Samjha Liya Waqt Ki Baat Hai,

Apna Rang-e-Muhabbat Hai Sab Se Juda
Koi Pochhe To Îñnõçênt Kahun Or Kya,

Jis ko Paya Nahi Usko Kho Kar Bhi Main
Kyon Usi Ka Raha Waqt Ki Baat Hai.

Urdu Heart Touching Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching urdu Poetry, Urdu Poetry,


Ek Baar hi Jee Bhar ke sazaa kyu nahi dete
Main Harf-e-Galat hoon to mita kyu nahi dete,

Moti hoon to Daman mein Piro Lo Mujhe Apne
Aansu hoon to Palkon se Gira kyu Nahi dete,

Saaya hoon to Saath na rkhne ki wajha kya hai
Or Pathar hoon to Raste se Hata kyu Nahi dete.

Heart Touching Urdu Poetry,

EK LADKI

Meri aankhon pe marti thi
Meri baaton pe hasti thi
Na jaane kesi ladki thi
Mujhe khone se darti thi
Woh jab bhi baat karti thi
Ye hi har baar kehti thi
Suno
Agr m bhool jau toh
Agr m rooth jau toh
Kabhi wapis na aau toh
Bhula paoge kya ye sab kuch
Yu hi haste rahoge kya
Yu hi jeetey rahoge kya
Ye hi baatein hai uski
Ye hi yaadein hain bs uski
Mujhe maalum hai itna
Mujhe woh pyaar karti thi
Mujhe woh khone se darti thi.

Kabhi Ulfat Bhara Lehja Kabi Utra hoa Chehra


Kabhi Ulfat Bhara Lehja  Kabi Utra hoa Chehra
Smajh Me kuch Nhi Ata  bata mera Gunah kia hy

Meri Uljhan Mita tu day  Mujhe Itna bata tu day
Me Mujrim hun ya Mehram hun  Saza Kia hy Jazaa Kia hy

Meri Sansain tu Chalti Hain Teri Yadoon Say Aye Humdum
Nhi Fursat k yeh Sochon Fanaa kia hy Baqaa Kia hy

Mera ye Dil Meri Dharkan Meri Saansain yeh Sab "Wasi"
Ye sub kuch Naam tere hain bata peechay bacha kia hay .

Kabhi ruk gaye Kabhi chal diye,


Kabhi ruk gaye
Kabhi chal diye
Kabi chalte chalte bhatak gaye,

Yun he umr sari guzaar di yun he zindagi k sitam sahay.

Kabhi neend mein
Kabhi hosh mein
Tu jahan mili
Tujhe dekh kr,

Na nazar mili
Na zuban hili
Yunhi sar jhuka k guzar gaye.

Kabhi zulf per
Kabhi chashm per
Kabhi tere haseen wujood per,

Jo pasand thay
Meri kitab mein
Wo shair sarey bikhar gaye.

Mujhe yaad hai
Kabhi aik thay
Magar aaj hum hain juda juda,

Wo juda huay
To sanwr gaye
Hum juda huay
To bikhar gaye.

Kabhi arsh per
Kabhi farsh per
Kabhi unke darr
Kabhi darbadar,

Ghum-E-Aashiqi
Tera shukriya
Hm kahan kahan se guzar gaye.

Wo ek Masoom si Pari

Wo ek Masoom si Pari
wo ek Anjani si Muhabbat,

Jo Meri zaat ka hissa haien
Jo Meri Zeest ka Qissa haien

Muhje mehsoos yeh hota hai
wo Mere pass har pal Haien,

Mein us ko ek Pal bhi BHoolu
yeh maray bas M Aab Kaha haien,

Usay jab jab yaad karta hun
zuban khamosh hoti hai,

Magar ye ankh roti hai
Mein khud se poch Ta Hun tab,

Jo maray Pass Har Pal haien
kya usay bhi pyaar hain muhje se,

Jawaban soch leta hun
Haa usy be pyar hain "SHAYAD"
Esi shayad se wabasta hai har khushi meri.

MOHABBAT AISA SAPNA HAI,


MOHABBAT AISA SAPNA HAI

Mohabbat Aisa Sapna Hai
Jise Jitna Koi Dekhe
Naya Mehsoos Hota Hai,

Mohabbat Aisa Manzar Hai
Jise Tasawvoor Karne Mein
Zamaane Beet Jate Hain,

Mohabbat Aisa Waada Hai
Kisi Ke Sath Ho Jaye
To Phir Torra Nahi Jata,

Mohabbat Woh Taaluq Hai
Ke! Jis Ke Sath Ho Jaye
Us Se Chora Nahi Jata,

Mohabbat Ek Paheli Hai
Ke! Jis Ko Raas Aa Jaye
To Phir Us Ki Saheli Hai,

Mohabbat Woh Kahaani Hai
Ke! Jitna Bhi Koi Bhulaaye
Humesha Yaad Rehti Hai.

Jaral ye la khafgana Marawar da kali laro, Pashto Poetry By Israr Atal, Atal poetry, Atal Best Poetry,

Jaral ye la khafgana Marawar da kali laro
Da dera ghama stary Mazigar da kali laro,

Che na wato da kali pa quran qasM heeskala
Hagha pa zra soray parhar parhar d kali laro,

Azghy wo da har cha da stargo zaka che ghareeb wo
Khanano da koti weesto pa shar da kali laro,

Wayel ye hagha sok o che pa Ma bandi mayen o
Daa wali lewany sho domra zr da kali laro,

Na cha warpsi ojarl na sok pasi khafa sho
"Atal" pa wrako laro MusafAr da kali laro.

Starge zma pa shogiro stare shwe


Starge zma pa shogiro stare shwe
Pa intizaar sta da ratlo stare shwe.

Waai har chaata da zargi khaloona
Laka baran pa waredo stare shwe.

Yo zal takleef oka yo so qadama
Ma raza bia k pa ratlo stare shwe.

Za ka shom stare pa laton dar pase
Ta hum ashna pa patedo stare shwe.

Sa de pa meena ke mondal zargia
Pa khandedo pa jaredo stare shwe.

Bewafa heer kra nor ye ma yadawa
Zargia khwar she pa salgo stare shwe.

Zaan de raswsa kralo namrada eshq ke
Nadan zargia pa gilo stare shwe.

Da che na mre ao na raghege KHIYALA
Kharegi bia pa asweloo stare shwe.

Pashto Poetry, Pashto Heart Touching Poetry, Pashto Images poetry, Pashto Poetry With Beautiful Images,


Kala Na Kala Me Hokheyar Zargah Nadaan Ghondee She
De Ishq Da Stere Safaroona Warta Gran Ghondee She,

Che Sta Pe Mena , Sta Pe Stargo Warta Ogorema
De Dee Nareh Her Wo Insan Rata Janan Ghondee She,

Kheyale Jahan , Kheyale Insan Ow Kheyale Jowand Jore Krema
Sta De Ihsas Pe Yawa Srekah Her Se Wran Ghondee She.

Ghani Khan Poetry,


Da okhko saaski aow zama da pukhtano stargo na
Ghani da yaar meena da kanro na oba obasi.

Israr Atal Poetry,

Ma ba sra gulona darta kali ke karali wo
Sta pa intizar ke ba me laaro ke shendali wo,

Kash ka da gogal na me da khpal zrra raaestali shwe
Ma ba lasunu ke ashna darta khodale wo,

Ta ka da ghuroor parda da stargo larrhe krre way
Ma ba darta zrra ao sar pa khpo ke ghwarzawale wo,

Ay be-nanga yara pa khpal qadar da zaan poe nashwe
Ma khu darta zwand aw akher dwarrha dar bakhale wo,

Zrra de rala mat krro ao da khalqo da khanda de krram
Ma khu sta khanda pasay tol umar la jarrhale wo,

Da da lewano kalay de dalta lag pa khyal raza
Dalta ke "ATAL" ao "JANAN" dwarra osidale wo.

Tere liye ham hain jiye honton ko siye


Tere liye ham hain jiye honton ko siye
Tere liye ham hain jiye har aansoo piye
Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye
Tere liye tere liye

Tere liye ham hain jiye har aansoo piye
Tere liye ham hain jiye honton ko siye
Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye
Tere liye tere liye

Zindagi le ke aayi hai beete dinon ki kitaab
Ghere hain ab hamein yaadein be-hisaab
Bin poochhe mile mujhe kitne saare jawaab

Chaaha tha kya paaya hai kya hamne dekhiye
Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye
Tere liye tere liye

Kya kahoon duniya ne kiya mujh se kaisa bair
Hukam tha main jiyun lekin tere baghair
Naadaan hai woh kehte hain jo mere liye tum ho ghair
Kitne sitam hampe sanam logon ne kiye
Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye
Tere liye tere liye

Tere liye ham hain jiye honton ko siye
Tere liye ham hain jiye har aansoo piye
Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye
Tere liye tere liye
Tere liye.

Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho


Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho

Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho

Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho

Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho.

Galatiyon se juda wo bhi nahi hum bhi nahi


Galatiyon se juda wo bhi nahi hum bhi nahi
dono insan hai khuda wo bhi nahi hum bhi nahi

Wo hume hum unhe iljam dete hai magar
apne andar jhankte wo bhi nahi hum bhi nahi

Galat fehmiyon ne kar di paida dono me duriyaan
warna fitrat ke bure wo bhi nahi hum bhi nahi

Chahte dono bahot hai ek dusre ko magar
ye haqiqat hai ke maante wo bhi nahi hum bhi nahi.

Ajab takazay hain chahaton k


Ajab takazay hain chahaton k
bari kathan yai musafateen hain

main jis ki rahon mein bik gai hoon
ussi ko mujh se shikaytein hain

shikaytein hein sub baja hain lakin
main kesay us ko yaqeen dilaon

jo mujh ko jan sey aziz tar hay
usay bhulaon tu mar na jaon

main is khamoshi k imtehan main
kahan kahan se guzar rahi hoon

usey kahber bhinahi hay shyad
mein dhere dhere bikhar gae hoo.




zindgi mein mujhse milne vo kabhi aaya na tha



zindgi mein mujhse milne vo kabhi aaya na tha
aaj kyun meri qabar pe ro raha tha bewaffa

aankh usski ab khuli hai jab ye duniya chodd di
itne din se vo kahan tha kya so raha tha bewaffa

ussne mujhko gham diya aur gham ne meri jaan li
khudko qatil maanta hai iss liye toh aaj vo
aansuuon se zurm apne dho raha tha bewaffa

meri saansein zindgi aur maut ke thi darmiyan
meri halat dekh kar sab ne kaha marr jaayega
roa pada dushman magar khush ho raha tha bewaffa

der thodi si lagi par rang layi hai waffa
baad marne ke 'zafar' ussne ki inayat hai badi
char char kull mere liye padh raha tha bewaffa

zindgi mein mujhse milne vo kabhi aaya na tha
aaj kyun meri qabar pe ro raha tha bewaffa.

SUNO NARAZ MAT HONA


SUNO NARAZ MAT HONA
Gile chahe bhut karna

Rulana or bhut larna
Suno naraz mat hona

Kbi aisa jo jho jaiy
K teri yad sey ghafil

Kci lamhey jo ho jaon
Bina dekhey teri surat

Kci shaab jo soo jaon
Tum sapnon main ah jana

Mujey ehsas dilla jana
Kbi naraz mat hona

Kbi aisa jo ho jaiy
Jhinain kehna zarori ho

Wo lfz muj sey kho jain
Ana ko beech mat lana

Meri awaz ban jana
Magar naraz mat hona
SUNO NARAZ MAT HONA.


mujhse waaqif toh mere jism ka sayaa b na tha



mujhse waaqif toh mere jism ka sayaa b na tha
kaise ho jaata tumhara me to khud apnaa b na tha

jitnaa maayus ha wo shakhs mujh se bichad k
itni shiddat se to mene use chaaha b na tha

jaise ilzaam lagaaye hain mere sar uss ne
aisi nazro'n se toh maine usse dekha b na tha

meri awaaz ka gham shehr ne jaana kaise
main toh uss bheed mein khamosh tha bola b na tha.

kaise ho jaata tumhara me to khud apnaa b na tha

jitnaa maayus ha wo shakhs mujh se bichad k
itni shiddat se to mene use chaaha b na tha

jaise ilzaam lagaaye hain mere sar uss ne
aisi nazro'n se toh maine usse dekha b na tha

meri awaaz ka gham shehr ne jaana kaise
main toh uss bheed mein khamosh tha bola b na tha.

Tere Labb Se yu Muskrana Acha Lagta Hai


Tere Labb Se yu Muskrana Acha Lagta Hai
Baar Baar Nazrain churaana Acha Lagta Hai

Tumhain Maloom Hai Mujhy Shikast K Naam Se Nafrat Hai
Lekin Tum Se phir bhi haar jana acha lagta hai

Main tumhien baar baar tang isliye karti hun
Tum rooth jao to mujhe manana acha lagta ha.




Kabhi Ulfat Bhara Lehja Kabi Utra hoa Chehra


Kabhi Ulfat Bhara Lehja  Kabi Utra hoa Chehra
Smajh Me kuch Nhi Ata  bata mera Gunah kia hy

Meri Uljhan Mita tu day  Mujhe Itna bata tu day
Me Mujrim hun ya Mehram hun  Saza Kia hy Jazaa Kia hy

Meri Sansain tu Chalti Hain Teri Yadoon Say Aye Humdum
Nhi Fursat k yeh Sochon Fanaa kia hy Baqaa Kia hy

Mera ye Dil Meri Dharkan Meri Saansain yeh Sab "Wasi"
Ye sub kuch Naam tere hain bata peechay bacha kia hay .

Kabhi Ulfat Bhara Lehja Kabi Utra hoa Chehra


Kabhi Ulfat Bhara Lehja  Kabi Utra hoa Chehra
Smajh Me kuch Nhi Ata  bata mera Gunah kia hy

Meri Uljhan Mita tu day  Mujhe Itna bata tu day
Me Mujrim hun ya Mehram hun  Saza Kia hy Jazaa Kia hy

Meri Sansain tu Chalti Hain Teri Yadoon Say Aye Humdum
Nhi Fursat k yeh Sochon Fanaa kia hy Baqaa Kia hy

Mera ye Dil Meri Dharkan Meri Saansain yeh Sab "Wasi"
Ye sub kuch Naam tere hain bata peechay bacha kia hay .

Bichara Hai Jo Aik Baar Toh Miltay Nahi Dekha


Bichara Hai Jo Aik Baar Toh Miltay Nahi Dekha
Is Zakham Ko HUm Ne Kabhi Siltay Nahi Dekha

Aik Baar Jisay Chaat GayiDhoop Ki Khuwaish
Phir Shak Pe Us Phool Ko Khiltay Nahi Dekha

Yak Lakht Gira Hai Toh Jaraib Nikal Ayi
Jis Pair Ko Aandhi Mein Bhi Hiltay Nahi Dekha

Kanton Mein Ghiray Phool Ko Choom Aye gi Laikin
Tatli K Paron Ko Kabhi Chubtay Nahi Dekha

Kis Tarah Meri Rooh Hari Kar Gaya Aakhri
Woh Zehar Jisay Jism Mein Khiltay Nahi Dekha.

Mohhabat Dukh To Deti Hay


Mohhabat Dukh To Deti Hay
Magar
Eik Bat Kehni Hay

Jisko Chaha Jata Hay
Zarori Ye Nahi Hota K

Usko Pa Liya Jaey
Kabhi Us K Bicharne Se

Mohabbat Kam Nahi Hoti
Zara Si Dair Pahle To

Yehi Ehsaas Hota Hay K
Koi Ji Nahi Sakta

Magar Phir Rafta Rafta Hi
Haqiqat KhulTi Jati Hay

Mohabbat Wo Nahi Hoti
K Jisko Pa Liya Jaey

Mohabbat Wo B Hoti Hay
Jo Hamesha Sath Rahti Hay

Kabhi Dukh K Andheron mai
Kabhi Khushion K Daman mai

Kabhi Wo Aas Dati Hay
Kabhi Umeed Dati Hay.

Kiss Qadar ankhoa hai Raabta mohabbat ka




Kiss Qadar ankhoa hai Raabta mohabbat ka
kab na jane ho jaye mohjaza mohabbat ka

apni zaat se bhi wo ajnabi sa lagta hai
jis k sath ho jaye haadsa mohabbat ka

wo chala hi jata hai jis ko jana hota hai
laakh do chahe us ko waasta mohabbat ka

zindagi mein jeene ka Aasra nahi rehta
jab kisi se chin jaye hosla mohabbat ka

Doston se agar tumhain mohabbat hai
Doston ko mat dina mashwara mohabbat ka.

Chahat Ka Ek Mitha Mitha Dard Jagane Sham Dhale



Chahat Ka Ek Mitha Mitha Dard Jagane Sham Dhale
Teri Yaden Aa Jati Hain Mujhako Rulane Sham Dhale

Teri Zulfen In Kandhon Par Tera Chehara Hathon Mein
Main Ne Bhi Dekhe Hain Kitane Khvab Suhane Sham Dhale

har din hum se wada karake yun hi agar tadapaoge
ik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhale

din ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lun
lekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhale.

Mujh Se Wada Karo Mujhey Rulao Gy Nahi


Mujh Se Wada Karo Mujhey Rulao Gy Nahi
Halaat Jo B Hon Mujhey Bhulao Gy Nahi

Chupa K Apni Aankhon Mein Rakho Gy Mujhko
Duniya Mein Kisi Or Ko Dikhao Gy Nahi

Mere Lafz Mere Dil Ki Tehrerein Hain
Kasam Uthao In Ko Kabhi Jalao Gy Nahi

Mujhey Ye Yaqeen Dilao Mujhey Yaad Rakho Gy
Meri Yaadon Ko Apney Dil Sey Mitao Gy Nahi.

Zindagi Ki Talkhiyon Se Is Qadar Mayoos Ho Chuka Hai Wo Shaks


Zindagi Ki Talkhiyon Se Is Qadar Mayoos Ho Chuka Hai Wo Shaks
Na Us Shaks Mein Jeene Ka Hosla Baki Hai Na Marne Ki Himmat.

Kis Zalim Ada Se Wo Apna Bister Chorti Ho Gi


Kis Zalim Ada Se Wo Apna Bister Chorti Ho Gi
Khuli Zulfein Band Hont Uljhi Sansain Or Ghazab Ki Angraiyan

Nazuk Mizaaj Hai Woh Pari Kuch Is Qadar
Payal Jo Pehni Paon Mein To Cham Cham Se Darr Gai

Mulayam Haath Kham-e-Zulf, Ada-e-Nain Aur Hont
Qatal Baqi Hai Auzaar To Sab Poory Hain

Teri Khoobsoorti Ko Mere Alfaz Chu Nahi Sakte
Hajoom-e-Husn Mein Tum Nawab Lagte Ho

Aainy Mein Wo Dekh Rahe The Bahar-e-Husn
Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye

Poocha Jo Un Se Chaand Nikalta Hai Kis Tarhan
Zulfon Ko Rukh Pe Daal Ke Jhatka Diya Ke Yun

Hazaaron Masley Hain Jo Mujhe Masroof Rakhte Hain
Mager Tum Anmool Itne Ho Ke Phir Bhi Yaad Aate Ho

Kitna nadaan hai tu waqas logo se umeed e wafa rakhta hai
Tera tu shareek e hayat tera saya bhi tera sath chor jata hai

Tamam Umar Mujhe Tootna Bikharna Tha Faraz
Wo Meharban Bhi Kahan Tak Samait'ta Mujhe.

Wo Kehti Hai Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rony Lagte Ho


Wo Kehti Hai Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rony Lagte Ho
Mein Kehta Hun Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai

Wo Boli Tum Bhi Parhat Zindagi Se Rooth Jao Ge
Mein Bola Han Shayad Mout Mujh Se Maan Jaye Gi

Wo Boli Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho
Mein Bola Kia Karon In Mukhtasir Geeton Ka Mausam Hai

Wo Boli Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jate Ho
Mein Bola Kia Karon Kamzoor Hun Aur Be Sahara Hun

Wo Boli, Kia Ye Sab Kuch Ittifaqan Hai Tumhara Gham
Mein Bola, Ye Bhi Mumkin Hai Ye Sab Ehtraman Ho.

Mere Rag-O-Pe Mein Sama Gaya Wo Shakhs



Mere Rag-O-Pe Mein Sama Gaya Wo Shakhs
Meri Zindagi Mein Chah Gaya Wo Shakhs

Mere Dil Se Dil Mila Gaya Wo Shakhs
Mujhe Khush Naseeb Bana Gaya Wo Shakhs

Mujhe De Gaya Apni Har Khushi
Meri Aankhon Se Neend Chura Gaya Wo Shakhs

Jane Kia Baat Thi Us Mein Aisi
Mujhe Mohabbat Karna Seekha Gaya Wo Shakh.

Us Ke Labon Pey Raat Kahani Ghazab Ki Thi

Us Ke Labon Pey Raat Kahani Ghazab Ki Thi
Jazbat Beh Rahe The Rawani Ghazab Ki Thi

Raja Bhi Laajawab Tha Wadi-e-Ishq Ka
Lekin Dayar-e-Husn Ki Rani Ghazab Ki Thi

Kya Kya Na Sham Aai Meri Umer Me Magar
Guzri Jo Tere Sath Sunhani Ghazab Ki Thi

Dekhi Hai Maine Shehar Me Charti Jawaniyan
Lekin Jo Tujh Pe Aai Wo Jawani Ghazab Ki Thi

Mein Ke Ek Umar Tak Likhta Raha Dastaan-e-Gham
Jo Tum Ne Sunai Kal Shab Wo Kahani Ghazab Ki Thi.

Humara Bas Nahi Chalta


 Humara Bas Nahi Chalta
Tumhe Banho Me Bhar Lete

Tumhe Sab Se Chupa Lete
Tumhe Ankho Me Rakh Lete

Kabhi Na Roothne Dete
Kabhi Na Tootne Dete

Tumhe Hum Qaid Kar Lete
Bus Apne Dil Ki Dunya Me

Kisi Bhi Haal Me Hum Phir
Tumhe Azaad Na Karte

Sabhi Dunya Bhula Dete
Tumhe Apna Bana Lete

Hamare Bus Me Hota Tou
Magar Hai Bebasi Aisi

Hamara Dil Machalta Hai
Tumhe Hi Yad Karta Hai

Tumhara Qurb Chahta Hai
Magar Hum Kya Karen Jana

Hamara Bus Nhi Chalta.






main main na rahoon tum tum na raho

 main main na rahoon tum tum na raho
ek duje mein khoo jain ek jaan ho jain

chalo aao aaj ki sham ko kuch es tara sajain
ke seher tak donon madhoosh ho jain

lepat ke ek duje ki bahoon se raat bhar
barsoon ki tashnagi seher tak mitaain

dori rahe na darmiyan etne qareeb aao
tum hum mein sama jao hum tum mein sama jain

es haseen sham ko aaj yun na dhalne deain
sulagne deain saansoun ko jismon ko phigalain

bujhane se bhi nhi bujhti yeh piyaas muhabbat ki
ab tarse howe hontoon ko hontoon se milne deain

barsoon ki tashnagi ko kese bujhain MAHEK
chalo aao phir se ek haseen sham sajain.

Main jeena chahta hon

 Main jeena chahta hon
teri har saans men tere ahsas men

mahekti raat men tere jazbat men
khanakte saaz men teri aawaz men

sulagte raaz men tere andaz men
tere agaz men tere anjam men

chalagte jaam men teri har sham men
main jeena chahta hon.




Mera saawan b Tum ho meri Pyaas b Tum ho

 Mera saawan b Tum ho meri Pyaas b Tum ho
Sehra ki baahon mein chupi Aas b Tum ho

Tum yun to bohat door! bohat door ho Mujhse
Ehsaas ye hota hai Mere paas b Tum ho

Har Zakham ki Aaghosh mein ha dard Tumhara
Har dard mein taskeen ka Ehsaas b Tum ho

Kho jao to Veeran si ho jaati hein rahein
Mil jao to phir Jeenay ka Ehsaas b Tum ho

Likhta hoon to Tum hi utartay ho qalam se
Parhta hun to Lehja b Tum, Aawaz b Tum ho.

Khud ko is dil may basanay ki ejazat de do

 Khud ko is dil may basanay ki ejazat de do
Mujhy tum apna banany ki ejazat de do

Tum meri zindgi ka haseen lamha ho
Pholon say khud ko sajany ki ejazat de do

Kitna chahta hoon tujhy kesay bataon
Mujhy aaj itna batany ki ejazat de do

Tumhari ye raat c zulfon main chand sa chehra
Mujhy ye sham sajany ki ejazat de do.

Tere JISM pe main apne JISM Ko rakhon

 Tere JISM pe main apne JISM Ko rakhon
Tere HONTON ko apne HONTON se MASLON

Tujhe Piyar main itni SHIDDAT se karon k Teri JAAN Nikal jaye
Us DARD se Teri Aankhon se AANSU Jhalak jaye

Tu TAN se or MANN se Sirf meri ho jaye
BADAN se Tere Lipta rahon or Subha ho jaye

SUBHA Tujh se jab main Pochon Teri RAAT ka AALAM
Tu Sharma kar Mere SEENE se Lag jaye.






 

Andhairi Raat K Lamhe Tamam Hone Tak

 Andhairi Raat K Lamhe Tamam Hone Tak
Tujhe Hi Sochta Hoon Subho Se Shaam Hone Tak

Main Aisa Jisam Hoon Jis Ki Rooh Bhi Tu Hai
Adhuri Zaat Hoon Main Tere Naam Hone Tak

Teri Aawaz Sun Na Loon To DIL Nahi Lagta
Tarapta Rehta Hoon Tujh Se HUM Kalaam Hone Tak

Teri Nazar Ki Keemat Pe Bik Raha Hai Koi
Use Khareed Le Tu Mehnge Daam Hone Tak

Ishq Ki Aag Jo Seene Mein Laga Baithe Hain
Sulagti Rehti Hai Ye Neendein Haram Hone Tak.

Aao kabhi seeny se lagaon tum ko


 Aao kabhi seeny se lagaon TUM ko
Rutho jo mujh se to Manaon tum ko

meri baadon me neebd Aa jaye
Phir khud he jagaon tum ko

Tu hamesha k liye Mera ho jaye
Aisa taveez Pilaon tum ko

Is andaz se tum meri jan mango
Main inkar na kar paon tum ko.

Ek bheegi hooi si raat mily


 Ek bheegi hooi si raat mily
Us raat mein tera hath mily

Tery lab sy tapkein jo boondein
Unhein mery labon ka sath mily

Kuch tum bhi behky behky sy
Kuch mujh py nasha sa taari ho

Har pal mein jaan madhoshi ho
Ik aesi raat hamari ho

Phir tum aao meri baanhon mein
Main pyar karoon tumhein ji bhar k

Tum mujh sy thora sharmao
Sharma k galy sy lag jao

Main jitna tum ko pyar karoon
Tum itny hi betab ho jao

Hamein pyar k kuch lamhat milein
Ik bheegi hooi si raat mile.


Koi raat mere ashna mujhe youn b to naseeb ho



 Koi raat mere ashna mujhe youn b to naseeb ho
Na khyal ho libas ka wo itna mere qareeb ho

Badan ki garam aanch se meri aarzu ko aag de
Mera josh b behak uthay mera haal b ajeeb ho

Teray chashni wajood ka main sara rass nichor loon
Phir tu he mera marz ho phir tu he mera tabeeb ho .

Na khyal ho libas ka wo itna mere qareeb ho

Badan ki garam aanch se meri aarzu ko aag de
Mera josh b behak uthay mera haal b ajeeb ho

Teray chashni wajood ka main sara rass nichor loon
Phir tu he mera marz ho phir tu he mera tabeeb ho .

Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din

 Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din
Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din

Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab
Dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din

Phoolon ki tarha “husn” ki baarish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din

Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din

Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki
Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din

Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey
Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din

Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon
Sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din.



Banke Gajra Terey Baalon Mein Bikhar Jaon Mein

Banke Gajra Terey Baalon Mein Bikhar Jaon Mein
Misl-e-Kajal Teri Ankhaon Mein Sanwar jaon Main

Sans Banke Kabhi Nathnoan Se Kabhi Hontoan Se
Hoale Hoale Tere Seeney Mein Utar Jaon Main

Arzo Dil Ki Merey Jaan-e-Wafa Bass Hai Yehi
Terey Hontoan Pe Hansi Banke Nikhar Jaon Mein

Mar Ke Bhi Saath Rahe Teram Bas Ek Iske Liye
Khoon Banke Teri Rag Rag Mein Utar Jaon Mein

Aj Mujh Se Lipat K So Jao

 Aj Mujh Se Lipat K So Jao
Aj Kro Kuch Aisa Mujh Me Kho Jao

Apne Nazuk Se Malmal Se Jism Ki Khushbu Se
Mere Badan Ko Mehka K So Jao

Musalsal Sans Se Sans Jor Do Jana
Aj Mere Tan Se Apna Tan Mila K So Jao

Chand Si Chandni Me Taaro Ka Dikhao Jalwa
Aj Mujhe Pyar Do Ya Pyar Kar K So Jao.

Honton sy kbi hont mila kr dekho


 Honton sy kbi hont mila kr dekho
mjhko apny nazdik kbi bula kr dekho

mai ny suna hy lazat e lab chomnay sy nasha charta hy
aa0 phr kisi shab mje ye jaam pila kar dekho

kitni muztrib hr raat guzarti hy tm kia jano
kbi jismo ma lagi aag honton sy jala kar dekho

pyas bi bhuj jaey gi arman bi sabi hongy pory
bs ek raat mjhy apny pas sula kar dekho

honton sy kbi hont mila kr dekho.

Niyat-e-shauq bhar na jaye kahin


Niyat-e-shauq bhar na jaye kahin
tu bhi dil se utar na jaye kahin

aj dekha hai tujhe der k bad
aj ka din guzar na jaye kahin

na mila kar udas logon se
husn tera bikhar na jaye kahin

arzu hai k tu yahan aye
aur phir umr bhar na jaye kahin

ji jalata hun aur ye sochta hun
rayegan ye hunar na jaye kahin

ao kuch der ro hi len Nasir
phir ye dariya utar na jaye kahin.




Koi Raat Mere Aashna, Mujhe Yun Bhi To Naseeb Ho,


Koi Raat Mere Aashna, Mujhe Yun Bhi To Naseeb Ho
Na Rahe Khayal Libaas Ka, Wo Itna Mere Qareeb Ho

Badan Ki Garm Aanch Se Meri Aarzu Ko Aag De
Mera Josh Behak Uthey, Mera Haal Bhi Ajeeb Ho

Tere Chashni Wajood Ka Sara Ras Mein Chura Loon
Phir Tu Hi Mera Marz Ho, Aur Tu Hi Mera Tabeeb Ho.

Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishain Bhi Shumar Karna




Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishain Bhi Shumar Karna
Jo Mere Hisse Mein Aai Hain Wo Aziyatein Bhi Shumar Karna

Jalaye Rakhon Gi Subha Tak Mein Tumhare Raston Mein Apni Aakhein
Magar Kahin Zabat Toot Jaye To Barishein Bhi Shumar Karna

Jo Harf Looh-E-Wafa Pe Likhe Hue Hain Un Ko Bhi Dekh Lena
Jo Raaigan Ho Gain Wo Sari Ibadatein Bhi Shumar Karna

Ye Sardiyon Ka Udas Mausam Ke Dharkanein Baraf Ho Gayn
Jab Un Ki Ykh Bastagi Parakhna, Tamazatein Bhi Shumar Karna

Tum Apni Majboorion Ke Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se
Jo Meri Aankhon Mein Jal Bujhi Hain Wo Khwahishein Bhi Shumar Karna.

Heart Touching Urdu Poetry,


Hamen to Saath ChaLna Thha
Hamen to Saath Rehna thha

Tumhen aik Ghar banana thha
Mujhe jis ko Sajana thha

Sunehri JaaLion se Lag k Tera Intezaar Karna thha
Agar Tum der sey Aatey to
Mujhe ko Rooth Jana thha
Tumhen Mujh ko Manana thha

PaharoN per PighaLti Baraf ki manand
Mujhe Dheerey se Hansna thha
Bohat si Un Kahi Baaton ko
Hum ne Lufz deney thay

Kabhi Barish k Mosom mein arang Sun k
Kaye Nazmen tumhen apni
Mujh se Mansoob karna theen
Abhi to tum ne mujh ko
Baansri k Sur sikhaaney they

Hamen to Saath ChaLna Thha
Hamen to Saath Rehna thha.

Laash Hoon Main Ab Dafna Bhi Dalo

Laash Hoon Main Ab Dafna Bhi Dalo
Yahi Aakhri Rasam Bachi Hai Use Nibha Dalo

Na Honge Hum Fir,Na Humari Yaaden
Vo Saare Lamhe Saare Manzar Aaj Meri kabar Me Mila Dalo

Maar To Diya Tha Bahut Pahle Hi Zindagi Ne Humko…
Aaj Mere Sapno,Meri Khwahishon Ko Bhi Mere Sang Dafna Dalo
Ab Yahi Aakhri Rasam Bachi Hai Use Nibha Dalo.

Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai

Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai
Ab koi Raah dikha de k kidhar jana hai

Jism se sath nibhane ki mat umeed rakho
Is musafir ko to Rastay mein theher jana hai

Nasha aesa tha k Maikhane ko duniya samjha
Hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai

Mere jazbe ki bari qadar hai logon mei magar
Mere jazbe ko mere sath he mar jana ha.

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai

Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai

Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein
Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai

Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani
Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai

Bichhar k us se main bas es liye nahi bikhra
Wo keh gaya tha yehi waqt terey imtehaan kahai.

Mere galay lag k wo rota raha dair tak

Mere galay lag k wo rota raha dair tak
Wo ja raha tha Main usay bulata raha dair tak

Meri sadaaen lot aein ASMAN se takra kr
Main paglon ki tarha chillata raha dair tak

Usey na rok saka or wo chala hi gaya
Pathrai ankhon se usey dekhta raha dair tak

Wo ankhon se ojhal hua to main hosh me aaya
Un veeran rahon me usey khojta raha dair tak

Wo kehta tha waqt-e- rukhsat roya nahi krtey
"SAKI"
Uski khushi k liye muskrata raha dair tak.

Janay Kis Umar Main Jaye Gi Ye Aadat Apni

Janay Kis Umar Main Jaye Gi Ye Aadat Apni
Rottna Us Se Tu Auro Se Ulajhnathay Rehna

Urdu Picture Poetry, Sad Picture Poetry, Heart Touching Poetry, Images Poetry, New Picture Poetry,


Kisi Aur Ko Meray Haal Se Na Gharz Hay Na Koi Wastaa

May Bikhar Giya HOn Samait To, Bigarr Giya HoOn Sanwaar Do.

Wo Jo Hath Bhar Ka Tha Fasila,

Wo jo hath bhar ka tha fasila kai mosamo main badal gaya
Usay nafthay, Usay kat'thay mera sara waqt guzar gaya.

Sabhi ko chod kar khud par bharosa kar liye mene

 
Sabhi ko chod kar khud par bharosa kar liye mene
Wo main jo mujme marne ko tha zinda kar liye mene,

Muje us par utarne ki jaldi hi aisi thi
Jo kastii mili uspar bharosa kar liye mene,

Wo kya jane muhabbat ki badi keemat chukai hai
Khilaf apne bahut din to jamana kar liya mene,

Muje yeh khof de malik muji par nazar teri hai
Bas itna hi ni kafi ki sajda kar liye men.

Mere galay lag k wo rota raha dair tak

Mere galay lag k wo rota raha dair tak
Wo ja raha tha Main usay bulata raha dair tak,

Meri sadaaen lot aein Asmam se takra kr
Main paglon ki tarha chillata raha dair tak,

Usey na rok saka or wo chala hi gaya
Pathrai ankhon se usey dekhta raha dair tak,

Wo ankhon se ojhal hua to main hosh me aaya
Un veeran rahon me usey khojta raha dair tak,

Wo kehta tha waqt-e- rukhsat roya nahi krtey "SAKI"
Uski khushi k liye muskrata raha dair tak.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...