Nakaam zindagi ki mukammal kitab, Urdu Poetry,

Fursat agar milay tu parrhna mujhay zaroor
Nakaam zindagi ki mukammal kitab hon.


Urdu Poetry Posted By Just chill sms

Ishq Poetry, Sadest Poetry with Sadest Picture Ever, Ishq k Qatil,

Kitni Raqam Lo Gay Karaye Kay Qatilo
Mujhay Ishq Ka Sar Qalam Chahiye.

Janay kion shiksat ka azab liye phirta hoon


Janay kion shiksat ka azab liye phirta hoon
Main kiya hoon aur kia khuwab liye phirta hoon,

Us ne ik bar kiya tha sawal_e_Muhabbat
Main her lamha wafa ka jawab liye phirta hoon,

Us ne poocha kab se nahi soye
Main tab se rut jagon ka hisab liye phirta hoon,

Us ki khuwahish thi ke mery ankhoon main pani dikhay
Main us waqat se Ansoon ka sailaab liye phirta hoon,

SFSOOS KE WO PHIR BHI MAIRA NA HUWA FARAZ
MAIN JIS KI ARZOO KI KITAB LIYE PHIRTA HOON.

Urdu Heart Touching Poetry, Poetry With Sad Pictures, Urdu Poetry, Urdu Ghazal,

Unko tasavoorat me aane nahi diya
Halat ne ye lutf uthane nahi diya,

Gham mere sath sath bahut door tak gaye
Shikwa magar Zaban pe aane nahi diya,

Dastaar gir gai to gire sar to bach gaya
kuch behiso ko zarf khuda ne nahi diya,

Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala
Aankhon ko phir bhi ashk bahane nahi diya,

Majbooriyon ne pao mein zanjeer daal dee
Hamne khusi se apko jane nahi diya,

Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha
Aisa nahi sath dua ne nahi diya,

'shahid' meri saada dilo ne khabhi mughe
Aena doosto ko dikhane nahi diya.

Main jo din ko kahon raat, wo iqrar kary,


Main jo din ko kahon raat, wo iqrar kary
Mujh ko hasrat hai koi youn bhi mujhy payar kary,

Mere khatir wo sahy dunya k taany, dhakky
Nangy pairoon sy wo saihraoon k kanty chakhy,

Mujh ko paany k layee june k rozy rakhy
Main hoon deewana, wo deewano sa izhar kary,

Main jo din ko bhi kahon raat, wo iqrar kary
Mujh ko hasrat hai koi youn bhi mujhy payar kary.

Hamza Baba Poetry, Hamza Baba Pashto Poetry, Pashto Poetry of Hamza Baba,

Za Da Jwand Da Afatono Sa Khabar Wom ?
Za Da Meene Da Dardono Sa Khabar Wom ?

Da Khyalono Shesh Mahal K Osedama
Da Taqder Da Ketabono Sa Khabar Wom ?

Yaw Badsha Woma Be_Taja Be_Mahala
Da Azgho Ao da Gulono Sa Khabar Wom ?

Za HAMZA Woma Da Khkulo Pa Talash K
Za Da Khkulo Da Zulmono Sa Khabar Wom?.

Pa Spin Makh De Da Ranjo Khaloona Magda

Pa Spin Makh De Da Ranjo Khaloona Magda
Gula Mata Da Fareeb Damoona Magda,

Zra Zama Tote Tote Sho Sta Pa Ishq Ke
Pa Zargi Me Ashna Nor Daghoona Magd,

Sar Shendal Pa Mohabat Ke Der Asan Vi
Lewanay Domra Asan Shartoona Magda,

Che Singar De Yo Pa Dwa Na Kri Janana
Pa Zulfano Ke Bia Sra Sra Gullan Magda,

Alam Tol Khiyala Zamong Pa Tamasha De
Pa Ogo Rata Bia Bya Lasoona Magda.

Sta na ba juda shma kho wrak ba da dunya shma


Sta na ba juda shma kho wrak ba da dunya shma
Bya ba Meena ta kawe kho za ba bewafa shma,

Jari hagha khalaq che pa zruno zakhmi shawe wi
Za pa zra zakhmi yam Gula sanga pa khanda shma,

Sta na ba janana dumra lare charta lar shma
Bya ba me onawene ka Namar pa de dunya shma,

Dumra me janana sta pa Meena zan Qurban krolo
Sta ka dase khwakha wi za mar de belata shama.

Khudai khabr wale shwa ghusa owata by Israr Atal


Khudai khabr wale shwa ghusa owata
Zan sara ro ro gureda owata,
Sta dh sahar dh waday sa owayam
Janana bia pake gharma owata,
Dwa ranga khalq sho dwa rang makhona
Os dh itbara zamana owata,
Saqi da sta dh berukhai dh waji
Dh tlo ratlo na maikada owata,
Ph lopata ye zwani nh pateda
Nan dh gudara che lamda owata,
Nura dh jwand me sarmaya bh sa we
Zama dh zra na ka hagha owata,
Tala akhtar lh bh nakreze raoram
Gula kh kher bandi roja owata,
Wai Atala mor rabandi poha shwala
Khob ke me kholy na sta nama owata.

Za Pa Zaro Stargo Wartlim Kho Janan Na Pejandim

Za Pa Zaro Stargo Wartlim Kho Janan Na Pejandim
Da Kor Pa War Ey Teredam Kho Janan Na Pijandem,

Zama Chawdale Zrah Ey Hagha Shan Chawdale Prekho
Laka Mashom Ba Jaredam Kho Janan Na Pejandim,

Hagha Zare Starge Badale Me Da Zor ASHNA Shwe
Ka Za Har So Pe Nazedam Kho Janan Na Pejandim.

Khatir Poetry,


Ma kawa khuboona da janan ph narma ghaiga ki
paam kawa khtira bya ba khoob yawazi na darzi.

Nasha Stargi Me Khummar Ki Ao Bya Ze

Nasha Stargi Me Khummar Ki Ao Bya Ze
Ma Da Khoba R abaidar Ki Ao Biya Ze

Sta Yadoona Chi Pa Nima Shpa Ki Rashi
Gula Sam Me Raesar Ki Ao Biya Ze

Parharona Chi Da Zra Warweste Na Shi
Hasi Waly Zan Singar Ki Ao Bya Ze Ay

“Khatira” Lewantob De Hasi Na De
Yar De Lag Sahanti Isar She Ao Beyia Ze.

Dasi ba sok ph ta mayan wi chi peghoor di wahli

Dasi ba sok ph ta mayan wi chi peghoor di wahli
Meena di waswazi lamba di shi aw oor di wahli,

Bega nawahta aashiqano da qanoon ilan kro
Da cha chi speeni khuli ta zrh shi no ph zoor di wahli.

Zama zargay logay logay sho

Zama zargay logay logay sho ma hes wa na wayal
Har yaw ARMAn me aswely sho kho ma hes wa na wayal,

Che ye da tol umar wada da mohabbat kare wa
Hagha janan rana prady sho kho ma hes wa na wayal,

Che me da hussan aw ulfAt afsana jota shwala
Raqib me lara k Azghay sho kho ma hes wa na waya.

Sok da guluno pa talab ke pa Azgho prata di

Sok da guluno pa talab ke pa Azgho prata di
Sok da laila da las obo ta pa ghrmo prata di,

Da "janan" meni darna tola dunya hera krala
Zaka de laso ke tash mazi da "tasboo" prata di,

Sok pa sehra ke chaghe wey che "laila." gorama
Sok da janan pa "lupata" ke be Asroo prata di,

Sok da "qyamat" pa intezar di che "Ashna" ba winam
Sok ye kuso ke khare khaawre da "mudo" prata di.

Kala Me Khpal Kala Praday Ki JANAN

Kala Me Khpal Kala Praday Ki JANAN
Wallah che ma ba Lewanay Ki JANAN,

Pa Ma Ba wale Lamby Na Balegi
Raqeeb che Zan Ta Ranizde Ki JANAN,

Che da raqeeb pa cham-gawan radromi
Jore ba mata masaly ki JANAN,

Za Kho Da Jwand Pa khwago Poya Na Shwam
Kala Me Mar Kala Jwanday Ki JANAN,

Warta che za pa meena wa na goram
Maate da selme Aayene ki JANAN,

starge che tore Shonde sre garzavi
Ma ba da zra pa sar sore ki JANAN,

Khob ke che kala maha-makh warshama
Pa nema shpa rata naary ki JANAN,

khalka che ghara ghatay kala rashi
Waworo ke ma khwale khwale kiJANAN.

Zra Me Tre Na Maat Sho Nor De Khaar K Meena Na Kom

Zra Me Tre Na Maat Sho Nor De Khaar K Meena Na Kom
Da Da Ghum Bazaar Sho De Bazaar K Meena Na Kom,
Ossa Rase Khowrama Teendakuna Che Na Poha Wom
Da Zal De Rab Khair Kri Bia Talwaar K Meena Na Kom,
Ma Kawa "Sahira" Nor Sifat Rata Da De Semi
Swat Rala Zra Chowd Kro Bas Nowkhaar K Meena Na Kom,
Sumra Ye Pa Meena Za "Sahir" Margi Ta Rawastam
Sang Owayam Bia Ba Pa Aitbaar K Meena Na Kom.

khkuli okhyar sho os waadi na kawi

khkuli okhyar sho os waadi na kawi
Ho mayenan hum shaogeri na kawi,

Wakht kro badal da mashomano mizaj
Os mamagano kara shpi na kawi,

Jaami hum tangi shwi da zrono pa shan
Sok arth qamis arti painsi na kawi,

Waye da khpalo na pradi behter di
Zaka sok khpalo ki reshti na kawi,

Faisali kegi os pa zor da topak
Zaka hujro ki sok jargi na kawi,

Janan ki mena khpala na wa khalqa
Os da Atal na de geli na kawi.

Dil Behel Jaye To Chor Detey Hain Log,

Dil Behel Jaye To Chor Detey Hain Log
Koi Aur Mil Jaye To Chor Detey Hain Log,

4 Din Ki Chandni Ki Qadar Karna Doston
Chandni Dhal Jaye To Chor Detey Hain Log,

Qasmein To Khatey Hain Log Sada Jeeney Ki
Zehen Badal Jaye To Chor Detey Hain Log,

Din Badal Jayein To Jazbat Badal Jatey Hain
Halat Badal Jayein To Chor Detey Hain Log,

Log Muhabbat Kartey Hain Matlab Ke Liye
Matlab Nikal Jaye To Chor Detey Hain Log.

Urdu Poetry,

Tere qareeb reh k bhi dil mutmaeen na tha
Guzri hay mujh pe ye bhi qayamat kabhi kabhi.

Har kisi ko duniya me shohratain nhi milti

Har kisi ko duniya me shohratain nhi milti
Zindagi k lamhon ki qeematain nhi milti,

Fatah ki khuwahish me amaal b to lazim hain
Sirf kuch iraadon se manzilain nhi milti,

Faislay ye chahat k aasmano pe hotay hain
Do dilon k milnay se qismatain nhi milti,

Deen aur Duniya ko sath rakhna parta hai
Masjidon me rehnay se jannatain nhi milti,

Maan lo is zamanay me or b hain mujh jaisay
Hasb-e-aarzoo jinhay chahatain nhi milti.

Wasi Shah Best Poetry Ever

Hijar Ka Tara Doob Chala Hai Dhalny Lagi Hai Raat WaSi
Qatra Qatre Bras Rhi Hai Ashkon Ki Brsat WaSi,

Tere Baad Ye Dunya Waly Mujh Ko Pagal Kar Dain Ge
Khushbu K Dais Main Mujh Ko Le Chal Apny Sath WaSi,

Yon Hi Chup Ki Mohar Laga Kar Kab Tak Gum Sum Betho Ge
Khamoshi Se Dam Ghut''ta Hai Cheyro Koi Baat WaSi,

Aaj tO Us Ka Chehra B Kuch Badla Badla Lagta Hai
Mosam badla Dunya Badle Badal Gaye Halaat WaSi,

Mere Ghar Khushbu Ka Yeh Raqs Usi K Dam Se Hai
Us K Sath Chali Jaye Gi Phulon Ki Baraat WaSi,

Chor Wasi Ab Us Ki Yaden Tujh Ko Pagal Kar Dain Gi
To Qtra Hai Wo Darya Hai Dekh Apni Oqaat WaSi.

Urdu Heart Touching Ghazal,

Meray qurb se meray wajood tak
Usay ikhtilaf to sada ka tha,

Meray ghum se meray junoon tak
Yeh faasla bus ana ka tha,

Meri zindgi se meri saans tak
Woh falsafa buss dua ka tha,

Meri baat se teray zikr tak
Koi silsila jo hawa ka tha,

Meri haqiqat se meray khawab tak
Woh bay-khabar intiha ka tha,

Meray veham se meray gumaan tak
ek marhala wafa ka tha,

Meri talab se meray naseeb tak
Yeh maamla khuda ka tha.

WAsi Shah Poetry,

Ban k rehty thy jo Mazi me Ujalon ki trah
Aj kitabon me hain wo log Hwalon ki trah,

Shab e tarik me ye bikhry huwe taary dekho
Kisi ulfat me uljhy hain Khyalon ki trah,

Maykush kiya hai teri ulfat ne mujh
Teri yaaden hain Sagar k Pyalon ki trah,

Raah e ulfat me kaii Log toot kr bikhry
Dunya krti hai unhe pysh, Misalon ki trah,

Jab se khayen hain Zakhm teri muhabat me 'Mohsin'
Nigahen mujh pe uthti hain Sawalon ki trah.

Khamosh Zabaan Ke Lafzon Mein

Khamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hain,

In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaate Hain,

In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seene Mein Chhupaye Beithe Hain,

Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Yeh Pyar Mein Humne Seekha Hai,

Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Mein Tumhi Ko Dekha Hai,

Dhadkan Mein Bhi Naghma Bankar
Saagar Ki Tarah Tum Behte Ho,

Yeh Pyar Nahi To Tumhi Kaho
Phir Pyar Kise Tum Kehte Ho?

Phir pyar kise tum kehte ho ?

Phir pyar kise tum kehte ho ?

Khamosh zuban k lafzon mein
Kuch poshida si baatein hain,

In poshida si baaton mein
Kuch chahat ki barsaten hain,

In baton ko hum muddat se
Seeny me chupa k bethe hain,

Kuch paaye bina kuch khoo dena
Ye pyar mein hum ne seekha hai,

Suraj mein chand sitaron me
Har shey me tumhi ko dekha hai,

Dharkan me bhi naghma ban k
Sagar ki tarha tum behty ho,

Ye pyar nahi to tum hi kaho
Phir pyar kise tum kehte ho?

Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga

Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga
Woh aanay wala shakhs janay kis taraf se aaye ga,

To taye howa na, is gali k more tak to sath hain
Per is gali k more tak bhi ik zamana aaye ga,

Udaas parbatoon se sardiyon ki barf aa mili
Magr ye rabt dhoop ki kiran se toot jaye ga,

Jo log hijr ki musafaton main thak k so gaye
Khyal e mousam e wisaal hi unhain jagaye ga,

Wo ajnabi to shehr chor kar kabhi ka jaa chuka
Kitab e dil ki roo-numai main kisay bulaye ga,

Tu apnay harf us k naam kar k khud ko bhol ja
Ye ehd e be-hunr hai kis ko mou'ajza dikhaye ga,

Sivaye us k apni teergi main aap jal utthain
Saleem shab zadoon ko kon roshni dikhaye ga.

Mere wajood main sachai meri maan ki hai

Mere wajood main sachai meri maan ki hai
Wa garna shair ibadat to qarz e jaan ki hai,

Safr main lamha e awargi bhi shart sahi
Thehr gaye to alamat ye imtehaan ki hai,

Samandaroon main jazeeray panah detay hain
Magar ye khaak kisi arz e be amaan ki hai,

Bala ka habs ragoon main utr gaya ab k
Na janay zehr ghuli ye hawa kahan ki hai,

Suna hai ab nahin utray ga hum pe koi azaab
Zameen pe aakhri tuhmat ye asmaan ki hai,

Na tu mila hai, na khud hi se nibh saki apni
To phr ye umr kahan hum ne raiyegaan ki hai,

Khulay dareecho main yadain saji huwi hain Saleem
Bichar k usse ye surat qarar e jaan ki hai.

Hum log zameen kay rehnay walay

Hum log zameen kay rehnay walay
Phirty rahay asmaan sambhalay,

Aay mjhse khitab karny walay
chehry se naqaab to hata lay,

Sahir se bicharr gaye musafir
Darya main hain kashtiyon k halay,

Ik bheed hai dostoon ki laikin
Tanhai ny bun diye hain jalay,

Hum mujrim e raftaan e shab thy
Tasdeeq na kar saky ujalay,

Duniya tjhy chortay hain hum bhi
Ja tu bhi ab apna raasta lay,

Soraj hai zameen pe girnay wala
Mumkin ho to saye ko bacha lay,

Mushkil hai Saleem ghar basana
Diwar ka kya hai jo utha lay.

Main khud zameen mera zarf asmaan ka hai

Main khud zameen mera zarf asmaan ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai,

Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi,
Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai,

Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein,
Meri khamoshi bhi pehlu meray baan ka hai,

Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani,
Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai,

Bichar ke us say main sirf is liy nahi bikharta,
Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai.

Abhi Masroof Hon

Abhi Masroof Hon Kafi Kabhi Fursat Mein Sochon Ga
K Tuj Ko Yaad Rakhne Mein Main Kya Kya Bhol Jata Hon.

Heart Touching Ghazal,

Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle,

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle,

Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle,

Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle,

Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle,

Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle,

Apne Dushman se main be-waja khafa tha
Mere qatil to mere apne hawari nikle.

Khatir Poetry,

Che Khatir de pa ki khaowri she Khatira
Dumra ma kawa Khat da cha da stargo

Rehman Baba Poetry,

Che pa hussan takabor dar na onashi a Rehmana
Turo khawru ke prata di dir gulona.

Mera Wajud Sirf Meri Muhabbhat Sey Hai

Mera Wajud Sirf Meri Muhabbhat Sey Hai
Mujhy GharoOr Bohat Apni Mohabbhat Pe Hai,

Ki Hay Uss Sey mujhe Mohabbhat Hai Be-panaah
Or Meri Zindagi Ka Sakun Sirf Meri Mohabbhat Sey Hai,

Mujhy Chahtey Hongy Or Bhi Log Bohat
Magar Mujhey Mohabbhat Sirf Meri Mohabbhat Sey Hai.

Woh Khafa Hai Hum Se To Khafa Hi Rehne Do

Woh Khafa Hai Hum Se To Khafa Hi Rehne Do
Hum Ko Unka Gunahgar Hi Rehne Do,

Woh Smjhti Hai Hum Ne Chhod Diya Hai Unko
Baat To Jhooti Hai Magar Such Hi Rehne Do,

Muddaton Mangi Hai Khuda Se Khushiyan Unki
Jo Aata Hai ILzam Hum Pe To ILzam Hi Rehne Do,

Unki Shart Hai Ke Main Bewafa Banu
Khushi Mile Unko To Mujhe Bewafa Hi Rehne Do,

Aaye Ga Waqt To dikhayenge Tum Ko Apna Khuloos
Abhi Khamosh hai, Hum Ko Bus Khamosh Hi Rehne Do.

Romantic Poetry,

Uska Rukh-e-mahtab uske Haath Choom Lun
Jo Bass CHaley to uski Harr Baat Choom Lun,

Chhu jaye Uski Zulf ko Baarish ki Boond
Wo Boond Kia, BAarish kia, Mousam-e-Barsaat CHoom Lun,

Aa Jaye jo kbi khwb BhooL kr ager
Wo khwb Kia, Neend Kia, wo Raat Choom Lun,

Mujhe kuch nahi Chahiye Bus Khali Haath pe Mere
Rakh de Wo Apna Haath me wo Haath Choom lun,

Wo rota hUa Lag jaYe mere Seenay se kbi
Mein uskey Hont kia, Uski Aankhein Kia
Uski Saari Zaat Choom lun.

Khamosh Hawa Thi

Khamosh Hawa Thi Kahi Saya Bhi Nahi Tha
Is Shehar Mein Hum Sa Koi Aaya Bhi Nahi Tha,

Kis Jurm Mein Cheeni Gayi Hum Se Hansi
Hum Ne To Kisi Ka Dil Dukhaya Bhi Nahi Tha.

Just Chill Poetry, Chill Poetry, Funny Poetry, Funny Urdu Poetry,

Meray dil mai dhoom jis larki ne mcha “rakhi” hai
Naam us shokh Haseena ka “Allah-rakhi” hai,

Main “Allah-rakha” hoon, Wo “Allah-rakhi” hai
Shayad Allah ny wo mere liye hi bana “rakhi” hai,

Kehtay hain k “rakhi”hui cheez hi kaam aati hai
Is liye mene”rakhi” se laga”rakhi” hai,

Ab Haqiqat to ye batany k liye “rakhi” hai
Ke “rakhi” ne raton ki neend ura “rakhi” hai,

Ye kya tumne “rakhi rakhi” laga “rakhi” hai
Kambakht”rakhi” ne to ksi or se laga “rakhi” hai.

Just Chill Poetry, Funny Poetry. Funny Pictures, Just Chill, Chill Poetry,


Kal jab milay thay to dil me hua eik sound
Or aaj milay to kehte ho your file not found,

Jo muddat se hota aaya hai wo repeat kar dunga
Tu na mili to apni zindagi ctrl+alt+delete kar dunga,

Shayad mere pyar ko taste karna bhool gaye
Dil se aisa cut kia ke paste karna bhool gaye,

Lakhon honge nigah me, kabhi mjhe bhi pick karo
Mere pyar ke icon pe kabhi to double click karo.

Humein Surat Se Kya Matlab

Humein Surat Se Kya Matlab, Hum Seerat Pey Martey Hain

Usey Kehna Tumhara Husn Jab Dhal Jaye To Loat Aana.

Sard Sham, Romantic But Sad Poetry, Romantic Pictures, Sadest But Romantic Picture,


Aisi hi sard sham thi vo bhi
jab vo mahndi rachaye hathon main
apni ahat k khauf se larazan
surkh anchal main munhchipaye hue
apne khat mujh se lene ai thi
us ki sahmi hui nigahon main
kitni khamosh iltijayen thin
us k chehre ki zard rangat main
kitni majaburiyon k saye the
mere hathon se khat pakarte hi
jane kya soch kar achanak vo
mera shana pakar kar roi thi
us k yaqut rang honthon k
kapkapate hue kinaron par
saikaron ankahe fasane the
sard shamon main der tak
aksar jab ye manzar dikhai deta hai
ek lamha hinai hathon se mujh ko
apani taraf bulata hai
hamnashin ruth kar na ja mujh se
aisi hi sard sham thi vo bhi.

Aihsas E Mohabbat, Aihsas E Mohabbat Poetry, Sadest Poetry Ever,

Bohot Royee Wo Hamare Pass Aa K jab Aihsas Howa Unhein Apni Ghalti Ka
Chup Karwa Dete Hum ! Agar Chehray Pe Hamare Kafan Na Hota.

Sad Pictures, Sad Pictures Poetry,

Kitne Masoom Lafzon Mein keh Gayi Mujhse Woh

Ki Sirf Dil Hi Tora Hai Konsi Jaan Li Hai Tumhari.

Good Night,

Pori rat sataya hy ksi k be-baas yaado ne

A suraj ab to nikal aa k or roya nahi jata.

Good Night Friends

Mohabbat Paglon ki Guftugo....

Negahein Bholti hay be tahasha 
Mohabbat Pagalon ki Guftugo hain.

Pyar Aur Barish.......

Pyar Aur Barish Dono Ek Jaise Hote Hay
Wo Humesha Yadgar Hote Hay
Fark Sirf Itana Hai Ki Barish
Sath Rah Kar Tan Bhigati Hai
Aur Pyar Door Rahkar Aankhe.

Roz-o-Shab Ke Mele Mein,

Roz-o-Shab Ke Mele Mein
Ghaflaton Ke Maare Log
Shayad Yahi Samajhte Hain
Hum Ne Jisko Dafnaya Tha
Bass Usi ko Marna Tha.

Mohabbat Ka anjam Poetry,

Younhi ajnabi na bana karo, kabhi muskura ke mila karo
Kabhi sun to lo mera haal-e-dil, kabhi mujh se koi gila karo,

Teri ik nazar teri ik adaa, mere dil ko kar diya la-pata
Mere dosto, mere ham-nawa, mere dil ka koi pata karo,

Mere saamne hai safar hasee'n, mujhe manzilon ki khabar nahin
Meri manzilon ka nishaan ho tum, younhi mere saath chala karo,

Yeh jo ishq hai, yeh hai la-dawa, yeh hai dard jis ka hai ik maza
Mujhe ishq hai mere dard se, mere dard ki na dawa karo,

Yeh tareeq-e-ishq hai kuch to ho, ya wafa karo, ya jafa karo
Koi faisla mere mehrbaan, koi rasm tum bhi ada karo,

Na hi zeest ka koi raasta, na hi khud-kashi ka hai hosla
Mujhe pyaar do, mujhe maar do, koi kaam tum bhi kiya karo.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...