Barish ki bondon ne jab dastak di darwaze per

Barish ki bondon ne jab dastak di darwaze per
Mehsos hua tum aye ho andaz tmhare jaisa tha,

Hawa k halke jhonke ne jab ahat ki khirki per
Mehsos hua tum chalay ho andaz tumhare jaisa tha,

Main tanha chala jab barish may Ik jhonkay ne sath diya
Main samja tum sath ho mere Ehsas tumhare jaisa tha,

Phir ruk gai wo barish brahi na baki ahat b
Main samja mujhe tum chor gae ANDAZ tumhare jaisa tha.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...