Udaas kaaghazii mausam main, Urdu Heart Touching Ghazaql, beautiful Pictures, Poetry with Pictures,

Udaas kaaghazii mausam main rang-o-buu rakh de
Har ek phuul ke lab pe meraa lahuu rakh de,

Zabaan-e-gul se chaTain taraashane wale
Sukuut-e-naqsh main aaraaish-e-namuu rakh de,

Chalaa hai jaanib-e-maiKhaanaa aaj phir vaa_iz
Kahi na jaam pe lab apane bevazuu rakh de,

Khudaa kare meraa munsif sazaa sunaane main
Meraa hii sar mere qaatil ke ruu-ba-ruu rakh de.

Beautiful Good Night Poetry, Good Night, Good Night Poetry,

Abhi kro Mery sath Koi Bat phir so jana
Jb Dhal jaye Ye Raat Phr So Jaana,

Muddat sy Piyasy hain Hum Teri Deed K
Jb Bujh jaye Miri Piyaas Phr So jana,

Kuch Tum Stao, Kuch Hum Staen Tum Ko
Kuch Ho Jaye baat Phr so Jana,

Abhi To Jaag Rahy Hain Chand Sitary
Jab So Jaye Ye Kainaat Phr So Jana.

Kis qadar tujhko chaha, Urdu Poetry, Romantic Picture,

Kis qadar tujhko chaha kbhi gaur to kar
Itne to hum apne bhi talabgar nahi,
Wo tum ho jis se ulfat hai warna
Hum wo khudgarz hai jise
khud se bhi pyar nahi.

Poetry About Mother, Heart Touching Poetry Abou Mother,

Pyaar kehtay hain kisay aur mamta kya cheez hay 
Koi un bachon se pochein jin ki mar jati hain maa.

Aadatein, Romantic Pictures, Urdu Poetry,

Tu Chala Gaya Mujhe Chor Kr, Mai Badal Na Paya Aadtain

Tujhe Sochna Tujhe Chahna, Mera Aaj Bhi Ma'mool Hain.

Aadtain uski thi bus mujhay jalanay wali

Aadtain uski thi bus mujhay jalanay wali
Baat ki hans kay magar dil ko dukhanay wali,

Aajkal wo mujhay kuch badla huwa lagta hai
Ho gain uski nighain bhi zamanay wali,

Hum nay ikhlas ka daaman nahi chora ab tak
Haye uski to mohabbat hai rulanay wali,

Main nay samjha tha guzar jai ga mausam laikin
Rut - e - barsaat bhi nikli to sataanay wali,

Tumharay wastay ab koi nahi hai WASI
Khud sai batain na karo dil ko behlanay wali.

Promise Poetry, Romantic Picture Poetry, New Urdu Poetry,

Nibhanay ka irada ho to waada kar lya jai
Chalo mil kar gham-e-hasti ko aadha kar lya jai,

Andheri shab ka khatra ho to aisa kar lya jai
Kisi jugnu ki baanhon ko sahara kar lya jai,

Yahan kaantay bhi ugtay hain Yahan kalyan bhi khilti hain
In hi kay darmyan reh kar guzara kar lya jai,

Bharosay kay nahi laiq koi insaan yahan lekin
Jo jeena hai to logon per bharosa kar lya jai,

Lagaya jai andaaza andheri raat ka pehlay
Phir us kay baad ashkon ko sitara kay lya jai.

Badnaam zamany main mohabbat nahi kartay, Urdu Ghazal, Ghazal Poetry, Urdu Poetry,

Badnaam zamany main mohabbat nahi kartay
Dil walay to dushman se bhi nafrat nahi kartay,

Ek baar jisay chaha sada us kay rahay phir
Hum log amaanat main khayanat nahi kartay,

Tanhai main kar lete hain yaad aansoo baha kar
Zahir kabhi hum apni ebadat nahi kartay,

Waqt aanay par maloom yeh ho jaye ga us ko
Hum sirf dikhaway ki mohabbat nahi kartay,

Likhtay hain faqat ek us kay liye ghazlain
Har shaks pe hum aisay enayat nahi kartay.

Urdu Heart Touching Poetry, Images Poetry, Poetry With Picture,

Tu ne he tu kaha tha k main kashti pe boj hon
Aab Aankhon ko na daanp, Mujhay dobtha bhi daik.

Sadest Poetry Ever,

Wo roya tu bhoht par muj se moun morr kar roya
Koi majboori hogi jo dil torr kar roya 

Mere samne kar diye meri tasveer k tokrray
Pata laga mere pechay wo enhain jorr kar roya

Zindagi kab khatam hojaye, URdu Sad Picture Poetry, Sad Images Poetry,

Saanso ki mohlat kab khatam hojaye maloom nahi 
Dook koi mila ho meri zaat se tu maaf kar dena.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...