I want to dance with you for a life time


I want to dance with you for a life time
Hold you close to my heart,
Stop the hands of time
Make the world give us a little more time

To feel our bodies close swaying together
To music that only we can hear,
Letting it sweep us into Heaven
Come, dance with me there

We'll dance forever; never let go
Hearts in tune hand to hand,
Building love between us
That we barely can stand

Candles low no bright lights
Our love will light the way,
Come hold me close; dance with me
Til the night breaks to day

Feel our bodies pressed close
As close as skin to skin,
Open your heart to me baby
Come on, let me in
Fill my senses with your rush
Let me taste your deep kiss,
Hold me tightly to your heart

Never have I felt like this
Never will I feel it again
For within your arms I've died,
I've gone to heaven in your love
These are happy tears I've cried

Never have I been so loved
Or felt so much love for anyone,
Dance with me honey
Until the night is done

Dance with me until the world is done
I can't resist your charms,
Dance with me and hold me close
Let me die within your arms

Don't ever let me go
Dancing with you is so right,
I will never let you go
Come dance with me tonight

Kisi Ko Tum Ne Chaha Tha


Suno Jana!
Kisi Ko Tum Ne Chaha Tha
Wo Tumhein Mill Nahi Paayi
Kisi Ko Main Ne Chaha Tha
Wo Mujhy Mill Nahi Paya
Adhooray Tum Bhi Ho Ab Tak
Adhoori Main Bhi Hoon Ab Tak
Adhooray Pan Ki Tanhai
Tumhein Bhi Dasti Rehti hy
Adhooray Pan Ki Tanhai
Mujhay Bhi Dasti Rehti hy
Adhooray Pan Se Main Bhi Ab
Nikalna Chahti Hoon Bus
Adhooray Pan Se Tum Bhi Ab
Nikalna Chahtay Ho Na?
Tumharay Aur Meray Sab Masail Aik Jesay Hein
Sabhi Ghum Aik Jesay Hein
Sabhi Dukh Aik Jesay Hein
Suno Jana!
Chalo Ik Kaam Kertay Hein
Mujhay Tum Waisay Hi Chaho
K Jesy Usko Chaha Tha
Tumhein Main Wesy Hi Chahoon
K Jesay Usko Chaha Tha.
Chalo Aao K Mil Jull Ker
Naya Ik Ghar Basatay Hein
Muhabbat K Diye Ko Phir
Muhabbat Se Jalatay Hein

Aashiq Ka Janaza Uthnay Do


Aashiq Ka Janaza Uthnay Do
Phir Haath Mein Mehndi Laga Lena,

Laash Humari Jalnay Do
Phir Tum Phairay Lena,

Kal Ka Suraj Niklay Ga
Mere Marnay K Baad,

Pal Do Pal Ka Hoon Mehmaan
Sun Meri Ye Faryaad,

Tum Aa K Meri Maiyyat Par
Ho Sakay To Phool Charrha Jana,

Aitraaz Nahi Hai Koi
Ay Dilbar Mere Mujh Ko,

Haan Tujhe Mubarak Shadi
Barbaadi Salamat Mujh Ko,

Chitta Humari Bujhnay Do
Phir Tum Maang Saja Lena,

Main Door Chala Jaon Ga
Haan Chorr K Teri Duniya,

Mar K Bhi Dua Karoon Ga
Tujhe Milein Jahan Ki Khushiyan,

Arthi Humari Behnay Do
Phir Wasl Ki Raat Manaa Lena.

Tumhara naam kisi ajnabi k lab pe tha Wasi


Tumhara naam kisi ajnabi k lab pe tha Wasi
Bat zara si thi magar dil pe lagi bhoht

Ab ke jazbaat pe ik barf jami ho jese


Ab ke jazbaat pe ik barf jami ho jese
Phir kisi zakhm ki is dil me kami ho jese,

Yun sarabon pe haqeeqat ka guman hota hy
Teri bahon me koi shaam dhali ho jese,

Cut saka na mujh se sadion me safar Lamhon ka
Ek nukte pe zameen ghoom rahi ho jese,

Daikh dewana pan mujhe kis simt liye jata hy
Goya jannat na ho dilbar ki gali ho jese,

Shor kaisa hy kamosh hawaon me "Aatish"
Teri Aawaaz mujhe dhoond rahi ho jese.

Zakhmi howe jo hont....

Zakhmi howe jo hont tu mehsoos ye howa
Chooma tha kisi phool ko barri be-rukhi k sath.

Khelna Seekh Liya Ab Toh Dard Se Humne

Khelna Seekh Liya Ab Toh Dard Se Humne
Jeena Seekh Liya Bewafai Ke Sath Ab Toh,

Dil Kis Kadar Toota Hai Kya Bataayein Hum
Marne Se Pehle Kafan Odhna Sikh Liya Humne.

Wo Ro-Ro Kar Kehti Rahi Mujhe Nafrat Hai Tumse

Wo Ro-Ro Kar Kehti Rahi Mujhe Nafrat Hai Tumse
Magar 1 Sawal Aaj Bhi Pareshan Kiye Huye Hai
Ki Agar Nafrat Hi Thi To Wo Itna Royi Kyun?

Da Jwandoon Da Halo Zalo Qisey Wawra

Da Jwandoon Da Halo Zalo Qisey Wawra
Pa Khanda Da Gham-Zghamalo Qisey Wawra,

Da Prado Zulam Ba Bya Darta Bayan Krm
Kho Awal Zama Da Khpalo Qisey Wawra,

Bia Be-Shaka 'Pukhtoon' Staaya Lateefo Ke
Kho Yao Zal Ye Da Khaghalo Qisey Wawra,

Da Ulfat Noom Ba Pa Khula chare Wa-Nakhle
Ta Kho Rasha Lag Da Khkulo Qisey Wawra.

Israr Atal Poetry,

Da Muhabat Da Pakiza Ihsas Pa Tor Me Wajni
Zama QAATIL Ta Gunah Nishta Ka Pa Kor Me Wajni,

Yawa Khabara Da Pa De TAWAN Ke GATA Nishta
Ka Pa RAZA Me Qatlawi Awo Ka Pa ZOOR Me Wajni,

Makhi La Na Razi Qatil Dumra TOORZAN Na Day La
Pa PLAAR Me Oubaasi Da KOORA Awo Pa ROOR Me Wajni,

Qatil Pa Khpal WATAN Ke Dumra RUSWA Karray Yama
Qadam Che Gdama Pa DURSHAL No Khpala MOOR Me Wajni,

ATALA Daa Da Muhabat MOJIZA Hom Oweena,
PARHAR PARHAR Me Krri JOWANDAY TAKOR TAKOR Me.

Za Oukhko Baipaari Yam Da Ghamuno Sudagar Yam

Za Oukhko Baipaari Yam Da Ghamuno Sudagar Yam
Ma Da Cha Na Gila Nishta Za Da Zaan Na Marawar Yam,

Za Sahar Pa Salgo Pasam Harkali Rata Fikruna
Za Yow Drund Ghonty Makham Yam Ghum Laraly Mazigar Yam,

Sok Me Nishta Che Me Khpal Kri Pa Wadana Duniyage K
Pa Abada Abady K Bad Naseeba Dar Pa Dar Yam,

Lag Me Poh Kra Loya Khudaya Za Kho Dwao Tako K Ger Yam
Za Rekhtya Charta "Sahir" Yam Ka Pa Tash Noom Jadugar Yam.

Jarga Jarga Rawaan Di Raqeeban Zamunga Cham Ta

Jarga Jarga Rawaan Di Raqeeban Zamunga Cham Ta
Bas Pohwe Sham Che Razi Ba Nan Janaan Zamunga Cham Ta,

Gulluna Shol Stai Pati Pa Tama Da Bahaar
Che Goram No Razi Spera Khazaan Zamunga Cham Ta,

Da Ghum Selai De Wrokay Ka Nor Zor Me Da Zra Nishta
Da Meeny De Rab Rawali Tufaan Zamunga Cham Ta,

Sheen Stargi Be Naqaba Rawatali Da La Kora
"Sahira" Nan Zaroor Rasi Tawaan Zamunga Cham Ta.

Soch o Fikar Che Raghond Kam Hosala me War khata Shi

Soch o Fikar Che Raghond Kam Hosala me War khata Shi
Likal Ghwarama Ghazal Kho bas Da Zra me War Khata Shi,

Kala Wayama Che Nan Zam Kala Wayam Bia Ba Goru
Da Yaar Kali Ta Pa Tlo k Faisala me War khata Shi,

Saqi Na manam Sharab de Da Yaar dwa stargo pa Wrandy
Negh Che Ogori zama Ta Da Nasha me War Khata Shi,

Hara Wraz Hum dagha Soch kam Che bas nan Ba warta Wayam
Che Yaar Rashi pa Durshal wale da Khwla me War Khata Shi.

Qasam Me Kary Noor Ba Na Darzama

Qasam Me Kary Noor Ba Na Darzama
Wale Ashna Tar So Ba Za Darzama,

Che Zra Me Darko Sa Kafir Kho Na Shom
Che Wraz Ke 100 Zala Tar Wraa Darzama,

Saam Rata Wowaya Che Yar De Na Yem
Tar So Ba Dasi Zra Na Zra Darzama,

Ta Che Weshtaly Pre Zargay Dy Zama
Dar Wrama Sta Hagha Banra Darzama.

Ma Ta Shy Ghussa Pa Khanda Noro Ta

Ma Ta Shy Ghussa Pa Khanda Noro Ta
Sanga Me Sezay Pa Ada Noro Ta,

Nan Waye Che Bas De Bal Ba Na Wajnam
Warshay Pa Makez Ba Saba Noro Ta,

Monga Ghareebano Ta Dozakh Shwala
Jora Ka Janat Da Duniya Noro Ta,

Na Razay "Sahir" Ta Pa Jargo Gullay
Lara Shy Pa Tashta Veena Noro Ta.

Us ne bhula diya tu shikwah na kar

Us ne bhula diya tu shikwah na kar
Apno ko barray ikhtyaar howa karte hay.

Aas dil main nahi aankhon may koi pyaas nahi

Aas dil main nahi aankhon may koi pyaas nahi
Chund yadoon kay siwa kuch bhi meray paas nahi,

Zindagi hay keh lapakta hua shola hay koi
Jal bujha jis may meray dil ka haseen taaj mahal,

Tujh ko apnanay ki khwahish tujhay paanay ki lagan
Ab hai jesay koi jhulsa hua be rang kanwal,

Gard-e-alam say mamoor hein ab wo raahein
Jin say guzray thay kabhi saath hum hanstay hanstay,

Zehr-e-tanhai bhi ab dil pe asar karta nahi
Thak gai gham ki syah raat bhi dastay dastay,

Meri afsurda jawani pe amaavas ki yeh raat
Aur ta hadd-e-nazar aas ka jugnoo bhi nahi,

Apni marhoom tamannaon pe maatam kay liye
Haif ab aankhon kay kashkool may aansoo bhi nahi,

Apnay kaandhay pe liye apni tamannaon ki laash
Ghoomta phirta hoon aabadi main veeranay main,

Koi aisa nahi jo rok lay itna poochay
Kon ho? Kis liye aawara ho? Kya dukh hay tumhein?,

Sochta hoon mera jeena bhi koi jeena hay
Aik hi sur main jo bajta hay wahi saaz hoon main,

Kho gaya hoon main gham-e-zeest kay sehraaon main
Mujh ko aawaz na do gum shuda aawaz hoon main,

Aas dil main nahi aankhon may koi pyas nahi
Chund yadoon kay siwa kuch bhi meray paas nahi.

Shikasta khwab-o-shikasta pa hun mujhe duaon mein yaad rakhna


Shikasta khwab-o-shikasta pa hun mujhe duaon mein yaad rakhna
Mein aakhri jang ler raha hun mujhey duaon mein yaad rakhna,

Hawaein pegham day gai hein keh mujh ko darya bula raha hai
Mein baat sari samajh gya hun mujhey duaon mein yad rakhna,

Na janay koofay ki kya khabar ho, na janay kis dasht main basar ho
Main phir Madiney se ja raha hoon, mujhay duaon main yad rakhna,

Mujhay azeezan-e-man, mohabbat ka koi bhi tajarba nahin hai
Main is safar main nya nya hoon, mujhay duaon main yad rakhna,

Mujhey kisi say bhalai ki ab koi tawaqqo' nahin hai Tabish
Mein aadatan sab se keh raha hun mujhe duaon mein yad rakhna.

Meri Aankhon Mein Aansoo Pighalta Raha ,Chand Jalta Raha


Meri Aankhon Mein Aansoo Pighalta Raha ,Chand Jalta Raha
Teri Yaadon Ka Sooraj Nikalta Raha , Chand Jalta Raha,

Koi Bistar Pay Shabnam Lapaitay Hoay Khawab Dekhta Raha
Koi Yaadon Mein Karwat Badalta Raha, Chand Jalta Raha,

Meri Aankhon Mein Sab Saatein Jaagti Hein Abhi
Nehr Pay Tu Mein Saath Chalta Raha,Chand Jalta Raha,

Mein Tau Yeh Jaanta Houn Jis Shab Tum Mujhay Chorr Kar Gaey
Aasman Say Shaula Nikalta Raha ,Chand Jalta Raha,

Raat Aai Tau Kia Kia Tamashay Hoay,Tumhein Maaloom Hay
Teri Yaadon Ka Sooraj Ubalta Raha,Chand Jalta Raha,

Raat Bhar Meri Palkon Ki Dehleez Par Khawab Girtay Rahay
Dil Tarrapta Raha,Haath Malta Raha,Chand Jalta Raha,

Yeh December Kay Jis Mein Karri Dhoop Bhi Meethi Lagnay Lagay
Tum NahinTau December Sulagta Raha,Chand Jalta Raha,

Aaj Bhi Woh Taqadas Bhari Raat Mehki Hoi Hay Wasi
Mein Kisi Mein,Koi Mujh Mein Dhalta Raha,Chand Jalta Raha.

Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati


Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati
Yadoon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati,

Ab Umar' Na Mosam' Na Woh Rasty Keh Palat-Tay
Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahe Jati,

Aya Koi Aaker Ya Tere Dard Sambhaley
Hum Sai To Yeh Jageer Sambhali Nahi Jati,

Malum Humay Bhe Haan Bohat Se Tery Qisay
Har Baat Teri Hum Sai Uchali Nahe Jati,

Humrah Tere Phool Khilati Thii' Jo Dil Mein
Abb Sham Woh Dard Se Khali Nahe Jati,

Hum Jaan Sai Jayan Ge Tabhi Baat Banay Gi
Tum Se Tou Koi Rah Nikali Nahi Jati.

Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi

Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi
Ab to urooj pe pohunchi hai us ki zaat Wasi,

wohi waady hain aur rasmon ki zanjeerein baqi
Kab badalti hain zamaney ki riwayaat Wasi,

Ek wo din thy ke ek doosrey ko sochtey thy hum
Ab miltey nahi dono ke khayalaat Wasi.

Hijar ka taara doob chala hai dhalne lagi hai raat Wasi

Hijar ka taara doob chala hai dhalne lagi hai raat Wasi
Qatra qatra baras rahi hai askhkon ki barsaat Wasi,

Tere baad ye dunya wale mujh ko pagal kar dain ge
Khushbu ke dais me mujh ko le chal apne saath Wasi,

Yunhi chup ki muhar laga kar kab tak gum sum betho ge?
Khamoshi se dam ghutta hai chairo koi baat Wasi,

Chor Wasi ab us ki yaadain, tujh ko pagal kar dain gi
Tu qatra hai wo darya hai, dekh apni Aoqaat Wasi.

Parwah kar uski jo teri parwah kare

Parwah kar uski jo teri parwah kare
zindagi me jo kabhi na tanha kare,

JAAN ban ke utar ja uski JAAN me
Jo JAAN se bhi Ziada tujhse wafa kare.

Unki Arzoo Meri Zindgi Ka Woh Khwaab Hai

Unki Arzoo Meri Zindgi Ka Woh Khwaab Hai
Jiski Manzil Hi Nhi Rasta Bhi Kharab Hai,

Hansi Se Mere Dard Ka Andazaa Na Lagana
Dil Ka Har Panna Dard Ki Kitaab Hai.

Woh Mohabbat Bhi Teri Thi

Woh Mohabbat Bhi Teri Thi
Woh Shararat Bhi Teri Thi,

Agar Kuch Bewafai Thi
Toh Woh Bewafai Bhi Teri Thi,

Hum Chhor Gaye Tera Shaher
Toh Woh Hidayat Bhi Teri Thi,

Aakhir Kartey Toh Kissey Karte Tumhari Shikayat
Woh Shaher Bhi Tera Tha
Aur Woh Aadalat Bhi Teri Thi.

Zindagi ek chahat ka silsila hai

Zindagi ek chahat ka silsila hai
Koi mil jata hai koi bichad jata hai,

Jinhe mangte hai hum apni duao me
Vo kisi aur ko bina mange mil jate hai,

Dil k zakhm siye hai maine
Dard utha to usko bhi piya he maine,

Saanse chalti hai to jina hi padega
Apni tanhayi ko ghut-ghut k piya hai hamne.

Tere intizaar ki rait pe

Tere intizaar ki rait pe
Koi lafz mene likha na tha
Koi harf mene kaha na tha
Koi khwaab mene chuna na tha,

Isi intizaar ki rait pe
Meri arzoo k gulaab thay
Meri justajoo k saraab thay
Sabhi chahton k jawab thay,

Sabhi hasraten wo kahan gaein
Teri chahten wo kahan gaein
Mere humnasheen mere humnawa
Main palat k shayed na aa sakoon,

Isi intizaar ki rait pe
Men bikhar gya hoon hawaon men
Mujhe yaad rakhna duwaoon men
MUJHE YAAD RAKHNA DUAAON MEN.

Jab Raat Bohat Ho Jati Hai, Or Dil Ki Tanhai Barti Hai

Jab Raat Bohat Ho Jati Hai, Or Dil Ki Tanhai Barti Hai
Ek Shakhs Bohat Yaad Aata Hai, Hum Yaadon Mein Kho Jatey Hain,

Jab Tanha Beth K Khuwabon Ki, Ek Duniya Dil Mein Basti Hai
Kuch Sapney Sach Ho Jatey Hain, Kuch Sapney Toot Bhi Jatey Hain,

Jab Yaadein Hadd Sey Guzarti Hain, Ek Ajab Tamasha Hota Hai
Kabhi Hanstey Hain Kabhi Rotey Hain, Or Pagal Sey Ho Jatey Hain,

Jab Dil Ki Dharkanein Poochti Hain, Kiyon Raat Gaye Tum Jagtey Ho
Hum Ro Kar Chup Ho Jatey Hain, Or Janey Kab So Jatey Hain.

Dil To Kehta Hai Aaj Zamanay Se Chopalo'on Tujh Ko

Dil To Kehta Hai Aaj Zamanay Se Chopalo'on Tujh Ko
Dil Ki Dharkan Ki Tarha Aaj Dil Me Basalo'on Tujh Ko,

Koi Ahsaas Judai Ka Na Rahnay Paey Humary Beech
Iss Tarha Khud Me Aaj Meri Jaan Samalo'on Tujh Ko,

Tu Jo Rothay Kabhi Mujh Se Meray Dil K Maalik Sun
Sari Duniya Se Khafa Ho K Aaj Mana Loon Tujh Ko,

Jab Bhi Dekhon Teray Charay Pe Udassi Ka Samaa
Yehi Chaho'on Main K Kisi Tarha Hasalo'on Tujh Ko,

Tu Jo Thak Haar K Lotay To Yehi Khuwahish Ho
Bas Phir Apni Palko'on Ki Chao'on Me Sulaloon Tujh Ko,

Teri Muskurahat Ka Hua Hai Kuch Aisa Asar

Teri Muskurahat Ka Hua Hai Kuch Aisa Asar
Khushiyon Se Bhar Dia Hai Tuney Yeh Mera Safar,

Marna Hai Sabko Magar Jeena Hai Mujhe Tere Lie
Kahin Meri Umar Isi Dua Main Na Jaye Guzar,

Door Kyun Rehte Ho Tum Hai Kaisa Yeh Imtihan
Ab Labon Se Mere Ziada Hota Nahin Sabar,

Apni Muhabbat Ki Utar Le “Nazar” Kaha Chand Ne Mujhse
Kahin Tere Chand Ko Na Lag Jaye Meri Yeh Nazar.

Us K Rukh-e-Mehtaab Us K Haath Choom Lon

Us K Rukh-e-Mehtaab Us K Haath Choom Lon
Maera Bas Chalay To Main Us Ki Har Baat Choom Lon,

Choo Jaye Agar Us Ki Zulf Ko Baarish Ki Boond
Wo Boond Kiya Baarish Kiya Mousam-e-Barsaat Choom Lon,

Agar Aa Jaye Jo Kabhi Khuwaab Me Wo Bhool Kar
Wo Khuwaab Kiya Neend Kiya Main Wo Raat Choom Lon,

 Mujhe Kuch Nahi Chahey Bas Khali Haath Pe Maery
Rakha De Wo Apna Haath To Main Wo Haath Hi Choom Lon,

Agar Wo Rootay Hoaey Lag Jaye Maery Seenay Se Kabhi
To Main Us K Hoont Us Ki Aankhain Us Ki Saari Zaat Choom Lon.

Hoont'on Se Tumhary Hoont'on Ko Lagana Chahtey Hain

Hoont'on Se Tumhary Hoont'on Ko Lagana Chahtey Hain
Saans'on Se Tumhari Saans'on Ko Mehkana Chahtey Hain,

Chashm-e-Ulfat Ki Hadd Ko Muhabbat K Us Paar Kar K Hum
Aaj Khud Ko Tumhari Zaat Me Hum Mitana Chahtey Hain,

Apne Laab'on Se Likh Dain Tumhary Taan BaDan Pe Aaj
HuSan-o-Ishq Ki Adaa'on Ka Pura Maza Uthana Chahtey Hain,

Ab Too Hata Kar Apne Tumhary Taan Se Ye Saarey Parday
Apni Zaat Ko Tumhari Baanh'on Me Bikhar Jana Chahtey Hain,

Na Tum Bolo Na Maery Hoont'on Se Koi Lafz Niklay
Siskiyon Hi Siskiyon Me Ye Raat Hum Bita Dena Chahtey Hain.

Tujhe Orrh'on Aaj Ya Tery Jisam Ka Main Libaas Ho Jaon

Tujhe Orrh'on Aaj Ya Tery Jisam Ka Main Libaas Ho Jaon
Tery RanG'on Me Aaj Dhal Kar Main Ek Ahsaas Ho Jaon,

Aaj Ki Raat Jo Milay Mujhe Tery HuSan-o-NaZakat Ki
Tu Samandar Ban Jaye Mery Liye Or Main Piyaas Ban Jaon,

Tery Wajood Se Rahay Mery Chehray Pe Khushiyon Ki Dhanak
Tera Chehra Jo Na Dekhon Main To Pal Bhar Me Udaas Ho Jaon,

Faqt Itni C Khuwahish Hai K Teri Zindagi Me Shamil Hon Main
Phir Bhalay Se Zindagi Ka Qissa Bano Ya Main Qiyaas Ho Jaon,

Tery Lub Tery Haath Tera Jisam Mera Ek Ek NaQsh Amar Kar Lain
Tu Mujhe Pal Bhar Bhula Na Paey Or Main Tery Liye Khaas Ho Jaon.

Wiran Buhat Hon Visal Se Tashkeel Kar Mujhe

Wiran Buhat Hon Visal Se Tashkeel Kar Mujhe
Tu Mujh Se Pyaar Kar Zara Tabdeel Kar Mujhe,

Sehra Ki Tapti Rait Se Aa Kar Mujhe Bacha Ley
Tu Thaandey Meethey Pani Ki Ek Jheel Kar Mujhe,

Choo Kar Mera Wajood Tajal'li C Bakhsh De
Main Ek Andheeri Raat Hon Qandeel Kar Mujhe,

Ho Jaen Na Kaheen Kharaab Meri Aadateen
Har Hukam Par Na Is Tarha Tameel Kar Mujhe,

Ab Is Tarha Se Mujh Ko Adhoora Na Chorr Tahir
Main Hon Tera ' Wada' Ab To Takmeel Kar Mujhe.

Ek Shabnami Raat Ho Apni Or Har Taraf Andhera Ho

Ek Shabnami Raat Ho Apni Or Har Taraf Andhera Ho
Ek Chadar Me Liptay Do Badan Ek Tera Ho Ek Mera Ho,

Teray Naram-o-Gudaz Jism Me Khushiyon K Chaman Me
Sadiyon Tak Wo Raat Chalay Sadiyon Tak Door Sawera Ho,

Tery Hoont'on Ko Jab See Doon Main Apne Hoont'on K Dhaagay Se
Ek Sanatay Me Khamoshi Se Teri Baanh'on Ne Mujh Ko Ghera Ho,

Dono Liptay Ek Doojay Me Ek Girah C Lag Jaey Jism'on Me Tahir,
Mery Jisam Me Tujhe Ghar Milay Tery Jism Me Mera Baseera Ho.

Tumharay Ikhlaas Se Muhabbat Ki Hai Main Ne

Tumharay Ikhlaas Se Muhabbat Ki Hai Main Ne
Tumharay Ehsaas Se Muhabbat Ki Hai Main Ne,

Aaj Tum Maery Pass Nahi Ho Lekin Phir Bhi
Tumhari Yaad Se Muhabbat Ki Hai Main Ne,

Kabhi Tum Ne Bhi Mujhe Yaad'on Me Basaya Hoga
Un Khubsurat Lamhaat Se Muhabbat Ki Hai Main Ne,

Tum Se To Milna Ab Khuwaab Sa Lagta Hai Tahir
Lekin Is Intazaar Se Bhi Muhabbat Ki Hai Main Ne,

Tum Jo Hanstey Ho To Phoolon Ki aada Lagtay Ho

Tum Jo Hanstey Ho To Phoolon Ki aada Lagtay Ho
Aur Jab Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagtay Ho,

Kuch Na Kehna Mery Kandhey Pe Jhuka Kar Sar Ko
Tum Kitne Masoom Ho, Tasveer-e-Wafa Lagtay Ho,

Baat Kartay Ho To Saaghar Se Chalak Jaatay Ho
Wo Leher Ka Geet Or Phir Koyal Ki Sada Lagtay Ho,

Kis Taraf Jao Gey Zulfoon K Ye Baadal Le Ker
Aaj To Machli Hoi Saawan Ki Ghataa Lagtay Ho,

Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zaroorat Kiya Hai Saqi
Mery Sath Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagtay Ho.

Rakh Kar Aaj Tumhary Hoont'on Pe Apne Hoont

Rakh Kar Aaj Tumhary Hoont'on Pe Apne Hoont
Apni Saans'on Ko Tumhari Saan'on Me Utaar Doon,

Lipta Rahon Main Aese Hi Tum Se Raat Bhar
Tumhari Rooh Me Aaj Khud Ko Bhi Utaar Doon,

Choo Kar Tumhari Zulfon Ko Main Apne Hath'on Se
Tumahry Damaktey Chehray Ko Or Bhi Nikhaar Doon,

Sar Se Paa'on Tak Choom Choom Kar Tumhain
Tumhary Taan Badan Ko Main Or Bhi Sanwaar Doon,

Ek Nashaa Sa Hai Tumhari Mad-Bhari Adaa'on Me Saqi
Kaash! Tamam Zindagi Main Is Nashay Me Hi Guzaar Doon,

Itna Bhi Apni Zaat Se Koi Juda Na Ho

Itna Bhi Apni Zaat Se Koi Juda Na Ho
Nikle Teri Talash Me Apna Pata Na Ho,

Dekho Ke Phir Hawaoun Ke Tewar Badal Gaye
Sahil Ki Rait Par Koi Kuch Likha Raha Na Ho,

Tanhaiyaan Kuch Is Tarah Basti Hain Mere Sath
Aakaash Bhi Jaise Shajar Se Juda Na Ho,

Na Kar Tu Mere Jism Ke Zakhmon Ka Yoon Hisaab
Ye Dekh Tere Hath Me Pathar Bacha Na Ho,

Apnon Se Bhi Miloun To Yeh Khauf Sa Rahe
Chehre Ke Peeche Aur Koi Chehra Chupa Na Ho.

Apni ruswai tere nam ka charcha dekhun

Apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
Ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun,

Neend a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
Ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun,

Sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri
Bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun,

Sab ziden us ki main puri karun har bat sunun
Ek bache ki tarah se use hansta dekhun,

Mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
Ang ang apna usi rut main mahakta dekhun,

Tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
Ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun,

Main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
Khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun,

Tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
Jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun.

Mein us ki yaad ko dil mein bahaal rakhta tha

Mein us ki yaad ko dil mein bahaal rakhta tha
Khud apne aap se zeyada kheyal rakhta tha,

Zara si baat pe woh mujhse rooth jata tha
Main us se pyar ka rishta bahaal rakhta tha,

Sambhaal rakhti thi ik khawhish-e-wisaal mujhe
Woh hijar deta tha, mujh ko niddhaal rakhta tha,

Main kitne qurb se guzra hoon kya pata us ko
Woh shakhs mujh ko bohat pur’malaal rakhta tha,

Mujhe to dost mere maaar gaye Arshad
Main bach geya hoon ke himmat kamaal rakhta tha.

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha,

Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha,

Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha,

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy MOHSIN
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha.

Kaash hum ik ho jaayen

Kaash hum ik ho jaayen

Kisi chandni sard raat mein
Tum mere buhat paas ho
Aur khamosh tanhai bhi saath ho
Main tum mein kuch kuch kho jaaon
Tum mujh mein kuch kuch kho jao
Main tumhare baazu pe sar rakh ke
Sari umar k khwab bunon
Tum meri palkon ko chum ke unn khwabon ki tabeer karo
Main tumhari baahon ke hisaar mein khud ko kahin chhupa lun
Tum apne honton ki aanch se mere tann ko kundan bana do
Phir sari haddon ko tor ke hum ek duje mein kho jaayen
Kaash hum ek ho jaayen.

Sham Ka manzar, uljha rasta, aik kahani, tu or main

Sham Ka manzar, uljha rasta, aik kahani, tu or main
Dhalta suraj, barhta saya, kashti-rani, tu or main.

Band ik kamra, chup ka manzar, bhooli bisri deepak yad
Tanhaai, dukh, khauf ki lazzat, dilbar jani, tu or main.

Titli, khushbu, rang ki baaten, shabnam sy sharmeelay khwab
Aas ka panchi, gum-sum khwahish, raat ki raani, tu or main.

Palkein, chilman, sharma sharmi, kam kam goya nazren
chahat bholi bhali seedhi saadi ik naadani, tu or main.

Koi Chehre Ka Deewana, Hai Koi Ikhlaaq Ka Taalib,

Koi Chehre Ka Deewana, Hai Koi Ikhlaaq Ka Taalib,

Adayein Peecha Karwati, Hain Muhabbat Kon Karta Hai.

Har Zarra-e-Umeed Se Khushbuu Nikal Aaye

Har Zarra-e-Umeed Se Khushbuu Nikal Aaye
Tanhaayi Ke Sehra Mein Agar TU Nikal Aaye,

Kaisa Lagay Is Baar Agar Mausam-e-Gul Mein
Titli Ka Badan Oorh Kar Jugnuu Nikal Aaye,

Phir Din Teri Yaadon Ki Mundairon Pe Guzra
Phir Shaam Howi Aankh Se Aansoo Nikal Aaye,

Be-Chain Kye Rehta Hai Dharka Yehi Ji Ko
Tujh Mein Na Zamanay Ki Koi Khu Nikal Aaye,

Phir Dil Ne Kya Tark-e-Talluq Ka Iraada
Phir Tujh Se Mulaqaat Ke Pehluu Nikal Aaye.

Apni Zulfon Ko Sitaaron Ke Havaale Kar Do

Apni Zulfon Ko Sitaaron Ke Havaale Kar Do
Shahr-E-Gul Baada-Gusaaron Ke Havaale Kar Do,

Talkhi-E-Hosh Ho Yaa Masti-E-Idraak-E-Junoon
Aaj Har Cheez Bahaaron Ke Havaale Kar Do,

Mujh Ko Yaaro Na Karo Rahnumaaon Ke Supurd
Mujh Ko Tum Rahguzaaron Ke Havaale Kar Do,

Jaagne Vaalon Ka Toofaan Se Kar Do Rishta
Sone Vaalon Ko Kinaaron Ke Havaale Kar Do,

Meri Taubaa Kaa Bajaa Hai Yahi Ejaaz "Adam"
Mera Saaghar Mere Yaaron Ke Havaale Kar Do.

Ab Do Aalam Se Sadaa-E-Saaz Aati Hai Mujhe

Ab Do Aalam Se Sadaa-E-Saaz Aati Hai Mujhe
Dil Ki Aahat Se Teri Aavaaz Aati Hai Mujhe,

Yaa Samaat Ka Bharam Hai Yaa Kisi Naghmen Ki Goonj
Ek Pahchaani Hui Aavaaz Aati Hai Mujhe,

Kis Ne Khola Hai Havaa Men Gesuon Ko Naaz Se
Narm-Rau Barsaat Ki Aavaaz Aati Hai Mujhe,

Us Ki Naazuk Ungliyon Ko Dekh Kar Aksar"Adam"
Ek Halki Si Sadaa-E-Saaz Aati Hai Mujhe.

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Mila Na Mujh Sa Jo Ehl -e- Wafa To Kya Ho Ga
Taras K Rah Gaya Shauq-e-Jafa To Kya Ho Ga,

Huzoor Ko Faqt Apne Shabaab Par Hai Ghuroor
Agar Shabaab De Gaya Dagha To Kya Ho Ga,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Kya Yehi Rasm-e-Wafa Haim Kya Yehi Khuloos?

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Tum Chhup Nahi Sakte, Kaheen Tum Ja Nahi Sakte
Tum Mere Takhaiyul Mein Ho, Tum Meri Nazar Mein,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Daaman Churra K Aap Ne Jaana Hi Tha Agar
Nazrein Utha K Pyar Se Dekha Tha Kis Liye?

Thehro Zara K Main Tumhein Jee Bhar K Dekh Loon
Aisa Na Hi Ke Gir Parre Deewaar Khwaab Ki,

Kya Khushaamad Ho Rahi Thi Dil K Lene Ke Liye
Kaise Nazrein Phair Lee'n Matlab Nikal Jaane Ke Baad,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Zara Apni Utthti Jawani Ka Sadqa
Idhar Bhi Nigaah_e_Karam Chaltay Chaltay,

Abroo Na Sanwaara Karo, Katt Jaye Gi Ungli
Naadaan ! Kabhi Talwaar Se Khaila Nahi Karte,

Pyar Hota Hai To Ik Dil Mein Jalan Rehti Hai
Khaar Chubh Jaane Se Jese K Chubhan Rehti Hai,

Faasla Ishq Ki Manzil Ka Hai Do Chaar Qadam
Saal-ha Saal Magar Iski Thakan Rehti Hai,

Meri Jaan Idhar Bhi To Aik Nigaah-e-Naaz Ho
Husn Kare Taraqqiyaan Umar Teri Daraaz Ho,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Chalay Aaye Thay Aaj Us Ki Gali Say
Yehi Soch Kar Wahaan Na Jayein Gay Lekin,

Jo Peechay Say Us Be_wafa Nay Pukara
Wahee'n Ruk Gaye Bas Qadam Chaltay Chaltay,

Likha Khat Usi Ko Mukhaatab Koi Tha
Magar Baar-ha Aisa Aalam Bhi Guzra,

Khayaal Aa Gaya Us Gharri Jab Tumhara
Waheen Ruk Gaya Bas Qalam Chaltay Chalay,

Na Taana_Zani Kar Meri May_Kashi Par
Zara Pooch Apni Nasheeli Nazar Say,

Khata_Gar Nahi Teri Nazaro'n Ki Zalim
To Kiyon Larkharraye Qadam Chaltay Chaltay,

Raqeebo'n Say Milna, Humein Bhool Jana
Kahaan Ka Ye Insaaf Hai O Sitam_Gar,

Karo Yaad Wo Din K Hum Say Wafa Ki
Uthaai Thi Tu Nay Qasam Chaltay Chaltay.

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi Jate

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi Jate
Ye Log Bhi Kia Log Hain, Mar Kion Nahi Jate,

Hai Kon Zamane Mein Mera Poochne Wala?
Nadaan Hain Jo Kehte Hain Ke Ghar Kion Nahi Jate,

Shouley Hain To Kion In Ko Bharakte Nahi Dekha?
Hain Khak To Rahon Mein, Bikhar Kion Nahi Jate,

Aansu Bhi Hain Aankhon Mein, Dua’in Bhi Hain Lab Par
Bigrey Hue Halaat, Sanwar Kion Nahi Jate.

Darguzar us ki har jafa kardi

Darguzar us ki har jafa kardi
Us k haq mein aj phir Dua kar di,

Aik lamhay mein kho diya us ko
Jis ko panay mein inteha kar di,

Jis ne dekha wo ho gaya us ka
Us ki tasveer hum ne Aaina kr di,

Us ki ik zara si khushi k liye..Hum ne
Apnay hi haq mein bud-dua kar di,

kya karte apni anjaan chahton ka
us ne hi hamari ulfat bewajah kr di,

ab to mayassar nhi pyar k wo lamhaat hamein
jin ko pane k liye ham ne hasratain fana kr di.

Tumhara Naam Likh Likh Kar

Tumhara Naam Likh Likh Kar
Mitaana Bhool Jaati Hoon,

Tumhein Jab Yaad Karti Hoon
Bhulana Bhool Jaati Hoon,

Bohat Si Aesi Baatein Hain Jo
Mere Dil Mein Rehtin Hain,

Magar! Jab Tum Se Milti Hoon
Sunaana Bhool Jaati Hoon,

Tumhaare Baad Ab Har Pal Bari
Mushkil Se Kat'ta Hai,

Mein Aksar Tum Ko Khuwaabon Mein
Bataana Bhool Jaati Hoon,

Mein Har Shaam Kehti Hoon
Tum Ko Bhool Jaaon Gi,

Magar! Jab Subha Hoti Hai
Iraada Bhool Jaati Hoon.

Khamooshi,

Es qadar khamooshi hay charoo taraf
Zehan sochay tu shor hota hay.

Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Humsafar Poetry,


Humsafar becharr gaye rastay bhi kho gaye
Aaye phir na lott kar jo dewanay hogaye.

Raaz yeh dil k uske saamne yun kholengay

Raaz yeh dil k uske saamne yun kholengay
Woh mil jaye tou phoolon se usse tolengay,

Sula denge unhen haathon ki thapki de kar
Subha honton se uski palkon ko kholenge.

Apne honton se choom loon aankhein uski,


Apne honton se choom loon aankhein uski
Be chain kardun mein sub raatein uski,

Lahoo ban k sama jaon uske ang ang mein
Ban jaon uska dil or mehsoos karun saansen uski.

Pukhtoon ba na yam che pa ta bandi pukhto o na kam,

Pukhtoon ba na yam che pa ta bandi pukhto o na kam
Mung khu Manza ta hom niyatoona ppa pukhto ki tarro.

Ishq Dard bhi hay aur Dawa bhi, Ishq Poetry,

Tu nakaam mohabbat hay tu kar aik ar mohabbat zaid
Suna hay ishq dard bhi hay aur dawa bhi,

Teri negah e naaz main mera wajood be-wajood

Teri negah e naaz main mera wajood be-wajood 
Meri negah e shoq main tere sewa koi nahi.

Mohsin Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry,

Kon kehta hay nafratoon main dard hain Mohsin
Kuch mohabbatin bhi barri aziyat naak hoti hay.

Qalam se aag bujhaow k jal raha hay chaman

Qalam se aag bujhaow k jal raha hay chaman
Khamosh bettay hon kaisay adeeb kagthayho.

Mohabbat Poetry, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,

Mohabbat ye nahi ki tum tarrpo usay khabar bhi na ho
Mohabbat ye hay tumhara dil darrkay tu us k dil pe qayamat guzray.

Allama Iqbal Poetry,

Tu apni khudi ko kho chuka hay
Koi howi shay ki justujo kar.

Kitabon ki tara hay wo bhi,

Kitabon ki tara hay wo bhi 
Alfaaz se bharpor, Magar Khamosh.

Wo Khafa Achay Lagay,

Hum gaye thay un ko mananay k liye
Wo khafa achay lagay, Hum ne khafa rehnay diya.

Dil Ki Baat,

Main esi khayal se aaj tak kabhi dil ki bat na keh saka
K wo dard o gham se hay be-khabar kahin muskorana taal de.

Mouth Par Bhi Yaqeen, Urdu Poetry, Picture Poetry,

Mouth par bhi hay taqeen, Un par bhi aitebar hay
Dekhthay hain k pehlay kon aata hay, Dono ka intezar haay.

Aakhree baat adhoori hi rahi, Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Sad Pictures,

Aakhree baat adhoori hi rahi
Teri majboori majboori hi rahi,

Hamari bat kabhi suni hi nahi
Tumhari baat zaroori hi rahi,

Main hun woh girftar e jabar
Jis ki zamaanat aboori hi rahi,

Main ho bhi gaya khaak to kia
Tumhari maang sindoori hi rahi.

Urdu Poetry, Urdu Sad Poetry, Sad Picture Poetry, Sad Pictures,

Main apne bad apni sada chhor jaonga
Hain aur bhi chaman meri khushbo k muntazir,

Main iss chaman ko misl-e-saba chhor jaonga
Donga kaali kaali ko payaam-e-shaguftagi,

Gulshan me ikk husn-e-adaa chhor jaonga
Ley jaonga main apni wafa ko b apnay sath,

Dunia k pas yad-e-wafa chhor jaonga
Jo merey dil pe zakhm lagatay rahay sada
Mein unkay wastay b dua chhor jaonga.

Urdu Heart Touching Poetry,

Rafta rafta bujh gaya akhir charagh e aarzo
Pehlay dil khamosh tha ab zindagi khamosh hay.

Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Picture Poetry,

Raat hay andheeri bhooht, ik diya he jala de koi
Main bharso ka jaga hon, mujhay sula de koi.

Zamany ka sahara tu bazahir ik dekhawa hay,

Zamany ka sahara tu bazahir ik dekhawa hay
Haqeeqat main mujhay mera khuda girnay nahi deta.

Hert Touching Poetry, Sad Urdu Poetry, SAd Poetry, Images Poetry, Urdu Picture Poetry,

Main jo chahon tu abhi torr lon natha tum se
Par main buzdil hon, muhay mouth se dar lagta hay.




Hert Touching Poetry, Sad Urdu Poetry, SAd Poetry, 
Images Poetry, Urdu Picture Poetry,

Urdu Heart Touching Poetry, Sad Urdu Poetry, Sad Poetry, Images Poetry, Picture Poetry,

Mujhe he dokha de gaya mera Zoq-e-Intekhaab
Dar-Haqeeqat jo log meray na thay, Nujhay wohi achay lagay.

Urdu Poetry, Urdu Picture Poetry, Sad Poetry, Heart Touching Poetry, Images Poetry,



Doobthay waqt zard tha itna !!!
Log samjhay k mar gaya soraaj.




Urdu Poetry, Urdu Picture Poetry, Sad Poetry, 
Heart Touching Poetry, Images Poetry,

Allama Iqbal Poetry, Allama Iqbal Urdu Poetry, Iqbal Urdu Poetry, Images Poetry, Urdu Picture Poetry,


Teri Rehmanton Pe Munhasir, Mere Har Amal ki Qaboliyat
Na Mujhay Saleeqa e Ilteja, Na Mujhay Shaoor e Namaz Hay.




Allama Iqbal Poetry, Allama Iqbal Urdu Poetry, Iqbal Urdu Poetry, 
 Images Poetry, Urdu Picture Poetry,

Allama Iqbal, Allama Iqbal Poetry, Iqbal Pictur Poetry, Heart Touching Poetry,


Agar Laho hay badan main tu khof hay na haras
Agar laho hay badan main tu dil hain de daswas

Jisay mila ye matag e giran baha us ko
Na seem o zar se mohbbat hay ne gham e aflas




Allama Iqbal, Allama Iqbal Poetry, Iqbal Pictur Poetry, 
Heart Touching Poetry By Iqbal,

Mujhay Tum Yaad Aatay Hon, Urdu Images Poetry, Urdu Poetry, New Images Poetry,

Mujhay Tum Yaad Aatay Hon

Jamal ban kar meri aankh main samatey hon
Khayal ban kar mere dil ko gadgadate hon

Kamal band kar meri zindagi banate hon
Wasal ban kar mere hoslay barrhate hon

Sawal ban kar khayalon main satate hon
Zawal ban kar pyar ki inteha samjhatey hon
KHUDA gawah hay mujhay tum yaad aatay hon

Urdu Sad Picture Poetry, Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Picture Poetry, Picture Poetry,

Hijar ki ik saat bhi guzar pati nahi tum se
Hum safar pe niklain tu lot aaya nahi karte.

Allama Iqbal Poetry, Allama Iqbal Urdu Poetry, Iqbal Poetry, Iqbal Picture Poetry,

Haqeeqat kharafat main kho gayi 
Ye ummat rawayat main kho gayi

By Allama Iqbal

Urdu Love Poetry, Love Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Images Poetry,


Yaqeen na aaye tu ik bar poch kar dekho
Jo hans raha hay wo zakhmon se choor niklayga.

Love Poetry, Love Urdu Poetry, Picture Poetry, Urdu Picture Poetry,

Tumhein bholne main hamein kuch waqt lage ga
Aur wohi kuch waqt hamari zindagi hay.

Love urdu Poetry, Urdu Images Poetry, Urdu Poetry,

Jab se tum se mili hon
Main ye jaan gai hn

Mohbbat kisay kehte hain.

Izhar-e-Tamana,

Izhar e tamana he toheen e tamana hain
Tum khud he samajh jaow main naam nahi longi.

Zindagi Jab Bhi, Urdu Heart Touching Poetry, Picture Poetry,

Zindagi jab bhi kisi shay ki talab karti hay
Mere Honton pe tera naam machal jata hay.

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon, Urdu Heart Touching Poetry, Sad Pictures,

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon,

Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon,

Woh Sab TohfeyWoh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon,

Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon.

Wo Muhabbat Bhi Teri Thi


Wo Muhabbat Bhi Teri Thi
Wo Shararat Bhi Teri Thi,

Agar Kuch Bewafai Thi To
Wo Bewafai Bhi Teri Thi,

Hum Chhod Gaye Tera Shehar
To Wo Hidayat Bhi Teri Thi,

Akhir Karte To Kis Say Karte Tumari Shikayat
Wo Shehar Bhi Tera Tha Aur Wo Adalat Bhi Teri Thi!

Sunday Morning, Good Morning,

Happy Sunday Morning Friends, 
Have A Nice Day.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...