Subaq Raftaar Lamhon Ki Hadain Tarteeb Deta Hoon


Subaq Raftaar Lamhon Ki Hadain Tarteeb Deta Hoon
Sehar Ki Saans Ginta Hoon Shabain Tarteeb Deta hoon

Me aab e Zar Se Likhta hoon Ussi Ka Naam Shairon Mein
Sunehre Lafz Bunta hoon Unhain Tarteeb Deta hon

Usay Sochoon to Pehlu Se Sirrak Jata hai Dil Mera
Main Dil Pe Hath Rakh Kr Dharknein Tarteeb Deta hon

Mere Logon Ki Niyyat Mein Yazeedi Wasf hy Mohsin
Wohi Mujhko Mita'te hain Jinhain Tarteeb Deta hoon.

KAHA THA NA KE YUN SOTE

KAHA THA NA KE YUN SOTE
HOYE MAT CHOR KE JANA
MUJHE BESHAK JAGA DENA BATA DENA

TUMHE RASTA BADALNA HAI
MERI HAD SE NIKALNA HAI

TUMHE KIS BAAT KA DAR THA
MAIN TUMHE JANE NAHI DETA
KAHIN PE QAID KER LETA

ARE PAGAL MUHABBAT KI TABIYAT
ME ZABARDASTI NAHI HOTI

JISE RASTA BADAL NA HO
OSE RASTA BADALNE SE
JISE HAD SE NKALNA HO
OSE HAD SE NIKALNE SE

NA KOI ROOK PAYA HAI
NA KOI ROOK PAYE GA

TU TUMHE KIS BAAT KA DAR THA

MUJHE BESHAK JAGA DETE
MAIN TUM KO DEKH HI LETA
TUMHE KOI DUA DETA
KAM-AZ-KAM YUN TU NA HOTA

MERE SAATHI YE HAQIQAT HAI

TUMHARE BAAD KHONE K
LIYE KUCH BHI NAHI BAQI
MAGAR MAIN KHONE SE DARTA HUN

MAIN AB SONE SE DARTA HUN
KAHA THA NA YUN CHOR KE NA JANA.

Bohat Umeed rakhna aur Phir Be-aas hona bhi

Bohat Umeed rakhna aur Phir Be-aas hona bhi
Bashar ko Maar deta hai bohat Hassaas hona bhi

Suno ik Kaan se aur dousre se Phaink do baahir
Bohat Takleef-de hai Sahib-e-Ehsaas hona bhi

Yunhi to Abr-e-Rehmat ki Talab karta nahi koi
Zaruri hai muqaddar main Zara si Pyaas hona bhi

Bohat se Qalb Ruk jate hain Khushiyon ki Khabar paa kr
Humain tou Khoob Jachta hai Ghamon ka Raas hona bhi.

Har shaks se ulfat ka iqrar nai hota


Har shaks se ulfat ka iqrar nai hota
Har chehre sa dil ko kabhi piyar nai hota,

Jo rooh ko cho jaye jo dil main utar jaye
Us ishq ka lafzoon main izhar nai hota,

Jab piyar juda ho to ye husn bhi veran ha
Mehboob bina koi singhar nai hota,

Jo ishq main mar jaye sumjho woh nagena ha
Bun jaye woh pathar bhi bekar nai hota,

Kia samjho ga tum humari benam "Mohabat" ko
Ye ishq ka sauda ha "Sar-e-bazar" nai hota.

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon,

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon,

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon,

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon,

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon,

Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon,

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon,

Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon,

Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon.

Bahut Khoobsoorat Ho Tum

Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Khudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum,

Ye Chehra Tumhaara Ke Din Hai Sunehra
Aur Uspar Ye Kaali Ghataaon Ka Pehra
Gulaabon Sa Naazuk Mehekta Badan Hai
Ye Lab Hain Tumhaare Ke Khilta Chaman Hai,

Bikheron Na Zulfen, Tho Sharmaayen Baadal
Farishtey Bhi Dekhen Tho Hojaayen Paagal
Wo Pakeeza Moorath Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum,

Hain Phoolon Ki Daali Ye Baahen Tumhaari
Hai Khaamosh Jaadu Nigaahen Tumhaari
Jo kaanten Hon Sab Apni Daaman Mein Bhar Loon
Bichaawoon Main Kaliyon Se Raahen Tumhaari,

Nazar Se Zamaane Ki Khudko Bachaana
Kisi Aur Se Dekho Dil Na Lagaana
Ke Meri Amaanath Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum,

Jo Banke Kali Muskuraati Hai Aksar
Shab-e-Hijr Mein Wo Rulaati Hai Aksar
Jo Lamhon Hi Lamhon Mein Duniya Badalde
Jo Shaayar Ko Milti Hai Pehloo Ghazal Se,

Chupaana Jo Paawoon Chupaa Hi Na Paawoon
Bhulaana Jo Paawoon Bhulaa Hi Na Paawoon
Wo Pehli Mohabbat Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum,

Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Khudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum.

Bichrey to dard-e-hijr ka chaara na kar saky


Bichrey to dard-e-hijr ka chaara na kar saky
Yon tark-e-Aashqi B gavara na kar saky,

Warna wo intizar me sadiyan guzarti
Hum hi chaly to usko ishara na kr saky,

Aatish parast log thay phir B na janey kiun
Apney hi ghar me aag gavara na kr saky,

Usko aziz ronaken thi shehar ki agar
Tanhaiyon se hum B kinara na kr saky,

Kuch is tarha se usne bikheira hamen Mohsin
Hum maan kisi per B dobara na kr saky.

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana


Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai
Gunah Karne Ka Soch Lena
Haseen Pariyan Dabooch Lena
Phir Unki Aankhein Hi Noch Lena
Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai
Kisi Ko Lafzon Ka Jaal Dena
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena
Phir Uski Izzat Uchal Dena
Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai
Andheir Nagri Mein Chalte Jana
Haseen Kaliyan Masalte Jana
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana
Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai
Saja Raha Hai Har Ek Diwaana
Khayalo-O-Husn-O-Jamaal Jana
Khayal Kya Hain Hawis Ka Tana
Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Chehray parhta, aankhein likhta rehta hoon,


Chehray parhta, aankhein likhta rehta hoon
Mein bhi kaisi baatein likhta rehta hoon,

Saare jism darakhtoon jaise lagte hain
Aur baanhoon ko shaakhein likhta rehta hoon,

Tujh ko khat likhne ke taivar badal gaye
Aari tirchee satrain likhta rehta hoon

Teri zulf ke saaye dheyaan mein rehte hain
Mein subhoon ko shaamain likhta rehta hoon,

Apne pyar ki phool mehakti raahoon mein
Logoon ko deevaraain likhta rehta hoon,

Tujh se mil kar saare dukh dhuraoonga
Hijr ki saari baatein likhta rehta hoon,

Sookhe phool, kitaabein, Zakhm judaee ke
Teri sab sogaatein likhta rehta hoon,

Us ki bheegi palkain hansti rehti hain
Mohsin jab tak ghazlain likhta rehta hoon.

Be-Naam Zindagi, Zindagi poetry, Sad Poetry, SAdest Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,

Mat cheen apna naam mere lab se estara 
Es be-naam zindagi main tera naam he tu hay.

Fursat k Lamhaat, Urdu Heart Touching Poetry, Sadest Lover Poetry, Images Poetry,

Unhein hum yaad aatay hay fursat k lamhaat main
par ye bhi such hay unhein fursat nahi milti.

Teri Lajawab Chahat Ko,


Teri Lajawab Chahat Ko Hum Bhulain Kesy?
Tum Ko Bhool Kr Khud Ko Chain Dilaain Kesy?

Na Jaany Kon C Kashish Tere Pas Le Aati Hy
Tere Paas Aa Kr Tujh Me Samaain Kesy?

Hum Ne Dil Se Chaha Hy Tujhe Magar
Teri Chahat K Qabil Khud Ko Banaaain Kesy?

Q Poochhty Ho Hum Se Aanso’on Ki Shiddat
Hum En Me Tera Akss Tujhe Dikhaain Kesy?

Hum Tum Se Bohat Mohabbat Krty Hain
Magar TUMHAIN YE EHSAS Dilaain Kesy.

Barish , Badal Tum Or Main


Barish , Badal Tum Or Main
Khushbo , Mosam Tum Or Main,

Kaley Badal, Rimjhim Barish
Neela Anchal Tum Or Main,

Behti Nadiyan, Girta Pani
Ankhey, Aansu Tum Or Main,

Pas Kisi Drya K Koi
Bheega JhOnpar Tum Or Main,

Dor Kahin Koyal Ki Koo Koo
Gehra Jngal Tum 0r Main,

Barkha Rimjhim Geet Sunaye
Jhurmat Daley Tum 0r Main,

D0r Kahin Pr Chota Sa Ek
Kach’cha Sa Ghar Tum 0r Main,

Kandha Tera 0r Sr Mera
Pagl Si Chup Tum 0r Main.

Heart touching Poetry, Sad Pictures Poetry, Sadest Poetry Ever, New Sad Poetry, Urdu Shairy, New Urdu Poetry, Urdu Poetry With Pictures,


Bichrey to dard-e-hijr ka chaara na kar saky
Yon tark-e-Aashqi B gavara na kar saky,

Warna wo intizar me sadiyan guzarti
Hum hi chaly to usko ishara na kr saky,

Aatish parast log thay phir B na janey kiun
Apney hi ghar me aag gavara na kr saky,

Usko aziz ronaken thi shehar ki agar
Tanhaiyon se hum B kinara na kr saky,

Kuch is tarha se usne bikheira hamen Mohsin
Hum maan kisi per B dobara na kr saky.




Heart touching Poetry, Sad Pictures Poetry, Sadest Poetry Ever, 
New Sad Poetry, Urdu Shairy, New Urdu Poetry, Urdu Poetry With Pictures,

Sadest urdu Poetry, Sadest Urdu Ghazal, Sadest Poetry, Sad Pictures, Sad Picture Poetry, Sad New Poetry,


Yeh Zindage Ka Safar Tha Kabhi Buhat Dushwar
Huwa Hai Abb Bhi Aasan Teri Rifaqat Se,

Ya Rab Humein Talash Kisi Hum Safar Ki Thi
Laiken Yahan To Koi Na Apna Dekhae De,

Har Gam Teri Yaad Mein Saath Saath Thi
Mein Dekhne Mein Yun To Akela Safar Mein Tha,

Kisi Ko Gher Se Nikalte Hi Mil Gai Manzil
Koi Hamari Tarah Umar Bhar Safar Mein Raha,

Mein Ne Kaha Tha Aag Ka Darya Hai Zindage
Abb Hum Safar Bane Ho To Himmat Se Kaam Lo,

Safar Ka Saath Hai Yeh Manzilon Ka Saath Nahi
Guzar Hi Jaen Ge Lamhe Hisab Rehne Do,

Woh Log Uth Gaye Jin Se Saroon Per Saaya Tha
Jo Hum Safar Hain Woh Pehle Se Maherban Na Tha,

Taweel Ho Na Kahien Apni Chahaton Ka Safar
Suna Hi Ahl-E-Talb Umar Bhar Tarapte Hain.






Sadest urdu Poetry, Sadest Urdu Ghazal, Sadest Poetry, 
Sad Pictures, Sad Picture Poetry, Sad New Poetry,

Latest Urdu Shairy, Urdu Shairy, New Urdu Poetry, Poetry with Romantic Pictures, Romantic Pictures,


Na Who Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho,

Jo Khwaab Dene Ko Qadir Ho Meri Aankhon Ko
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Woh Aisa Ho,

Meri Khatir Marne Ka Hosla Bhi Rakhta Ho
Koi Bhi Ho..Kahi Bhi Ho.. Bas Aisa Ho,

Agar Kabhi Rooth Jaoon Mein Usse To
Muskrake Manaye, Woh Aisa Ho,

Jo Baat Kare To Woh Nibha Bhi Sake
Iradon Mein Woh Apne, Chattanon Jaisa Ho,

Dukhon Mein Hansne Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa Hamsafar Jo Samandar Ki Tarah Gehra Ho,

Us Ke Pyaar Ki Thandak Ho Mere Liye Aisi
Ke Woh To Bilkul Aasman Ke Chand Jaisa Ho,

Woh Sirf Mera Ho, Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Saath Chale…!! Bus Humsafar Mera Aisa Ho.





Latest Urdu Shairy, Urdu Shairy, New Urdu Poetry, 
Poetry with Romantic Pictures, Romantic Pictures,

Wo Jazbon Ki Tijarat Thi , Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

Wo Jazbon Ki Tijarat Thi , Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha
Usy Hansny Ki Adat Thi, Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha
Mjy Wo Dekh Kr Aksar,  Nigahen Phair Lyta Tha
Ye Darparda Haqarat Thi , Ye Dil Kuch Aur Samjha Tha

jab bhi tu aks ke saamne jaati hogi

 
jab bhi tu aks ke saamne jaati hogi
teri parchhai ko bhi, ab to sh+arm aati hogi
jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi
kis kis ko safaai degi bewafai ki
kis kis ko samjhaayegi tu
dil ko tere to sach maloom hai kamzarf
kab talak jhooth bol paayegi tu
sone ki koshish jab raat ko ki hogi
bebasi mein, neend nahi aati hogi
jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi
khudgarzi mein sab kuch bhula diya tune
ek masoom sa dil jala diya tune
tere hunar ki aur kya taareef karu
meri hasti ko pal mein mita diya tune
jab bhi baat meri chalti hogi teri mehfil mein
beparwah si tu, mazaak udaati hogi
jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi
main farishta nahi, tujhe maaf kar saku kabhi
tu bhi mare kisi ke ishq mein tabaah ho kar
tadpti rahe tu , gidgidaati rahe pairo mein
aur wo nikal jaaye beparwah ho kar
kabool hogi meri yeh dua yakeen hai
kahi par to dil ki awaaz pahunch paati hogi,
jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi.

Khawahishen Be'Lagaam Matt Karna

Khawahishen Be'Lagaam Matt Karna
Rizq Apna Haram Matt Karna,

Be'Wafa K Qareeb Matt Jana
Bud'Zubaan Sy Kalam Matt Karna,

Doston Ko Khuloos Sy Milna
Gharz Rakh K Salaam Matt Karna,

Dekhna Ishq Main Kabhi Apni
Zindagani Ghulam Matt Karna,

Toot Jaein Talluqaat Agr
Raaz Ki Baat Aam Matt Karna,

Kisi K Dil Main Rehna To Umar Bhar Rehna
Aik Do Din Qayaam Matt Karna.

Baat Din Ki Nhi Muje Raat Se Darr Lgta Hy

Baat Din Ki Nhi Muje Raat Se Darr Lgta Hy
Ghr Kacha Hy Mera Muje Barsaat Se Dar Lgta Hy,

UsNe Tohfey Me Diye Muje Kh00n K Aansu
Zindgi Ab Teri Her Soghaat Se Dar Lgta Hy,

Choro Pyar Ki Baten Koi Or Baat Kro
Ab To Pyar Ki Har Baat Se Dar Lgta Hy,

Meri Khatir Wo Kahin Badnaam Na Ho Jaye
Is Liye Uski Her Mulaqat Se Darr Lagta Hy,

Apno Me Reh Kr Kuch Aisey ZaKhm Khaye hain
K Humein t0 ab Apni Zaat Se bi Darr Lagta hai.

Kitabon k warkon ko palat kr sochta hon

Kitabon k warkon ko palat kr sochta hon
Yun palat jaye zindgi to kiya baat hai,

Khwabon mein roz milta hai jo
Haqiqat mein Aa jaye to kiya baat hai,

Kuch log matlab k liye dhondty hein mujhy
Bina matlab koi Aaye to kiya baat hai,

Qatal kr k to sub le jayein gey dil mera
Koi baton se ley jaye to kiya baat hai,

jab tak zinda hon tab tak to khushi doo ga sub ko
Meri mout se b ager kisi ko khushi mil jaye to kiya baat hai.

Us be'wfa se bhla rishta mita kesy dun

Us be'wfa se bhla rishta mita kesy dun
Wo JAAN h meri usy bhola kesy dun,

Apni roh me bsa k jise pyar kya tha
Sochta hun usy ab dagha kesy dun,

Kitne khwab sjaye thy meri in ankhon ne
Men apna hr khwab bhla jala kesy dun,

Wo roye ga to ansu mere b niklein ge
Us ki be'wfai ki usy sza kesy dun,

Wo kehta h k us ki khushi ki dua mangon men
Pr wo ksi or ka ho jaye usy ye dua kesy dun.

Bana ker Log kehty thay k dosti mein sirf ruswai hy

Bana ker Log kehty thay k dosti mein sirf ruswai hy
Aakhir wo B chor gaya apna TALBGAAR bana kr,

Ab to hr taraf se log mje loot rahe hain
Koi dost koi yar to koi PYAR bana kr,

Zindagi mein mujhe mazak bana kr dil na bhara uska,
Wo bohat khush hua meri qabar ko DARBAAR bana kr.

Hussan Wale Pyar Main Mehboob Ko Kya Dety Hain

Hussan Wale Pyar Main Mehboob Ko Kya Dety Hain
Do Din Pyar Kiya Phir Bhula Dety Hain,

Aashiqo Ki Qismat Hai Bus Tarapna
Girte Hain Jo Un k Aansoo Wo Zamee Ko Jala Dety Hain,

Is Jahan Main Apni Khushiyon Ki Khatir Ay "pari
Log Dusron Ki Khushiyon Ka Gala Daba Dety Hain,

Hussan Walon Se Na Tum Itna Pyar Karo
Ye To Aashiqo Ki Mout Par B Muskura Dety Hain,

Na Karna Aitabar Matlabi logon Par
Be'wafa log Hi Aashiyana Jala Dety Hain.

Waqat har cheez ka imkaan badal sakta hai

Waqat har cheez ka imkaan badal sakta hai
Aein mumkin hai tera dhiyaan badal sakta hai,

Zindagi Mein Hai faqat Teri mohabbat ki kami
Tu meri zeest ka unwaan badal sakta hai,

Ab teri yaad to is dil sy nikalney sy Rahi
Apni taqdeer kab, insaan badal sakta hai,

Hum faqat wesal k qaail to nahi chahat Mein
Kab humein hijir ka toofaan badal sakta hai,

Le k phirta hai tery ghum ka hawaala
Tu jo chaahy to ye pehchaan badal sakta hai.

Husn-E-Shama Likhun Ya Sarab Likhun


Husn-E-Shama Likhun Ya Sarab Likhun
Hm dm Likhun, Sathi Likhun Ya Khwab Likhun,

Tere Sraapa-E-Husn Se Heran Hun Main
Mehtaab Likhun, SEHAR Likhun Ya Aaftab Likhun,

Teri Zulf Jo Chupati Hai Chehra Tera
Raqeeb Likun, Nagin Likhun Ya Naqab Likhun,

NAzr Utha K Jo Chal Diey Aap
Be'Rukhi Likhun, Bewafa Likhun Ya Hijaab Likhun,

Khtm Ho Jata Hai Zakhiraa-E-Alfaz
Dil To Kehta Hai Teri Tareef Likhun aur Be'Hisab Likhun..?

Badlti nahi Qismtain hathon ki Lakeerain Mitanay se


Badlti nahi Qismtain hathon ki Lakeerain Mitanay se
Yadain nahi Mit'ti kisi k Bhool Janay se,

kya Faida kisi ki Khaatir Duniya se Rooth Jaen
Yahan kisi ko Farq nahi Parhta kisi k Toot Janay se,

Jeena hay to Hans kr Jeena Seekh lo
Yahan Milti nhi Roshni Apna Dil Jalaney Sey.

Kya Yehi Ishq ka Mayaar Bana rakha hai


Kya Yehi Ishq ka Mayaar Bana rakha hai
Tum Ne Hr Shakhs ko DiL'daar Bana rakha hai,

Log Aatay hain Thehrtay hain ChLay Jatay hain
Tum Ne to DiL ko bhi Bazaar Bana rakha hai,

Aankh men AShk Bhray Jisam pe Maatam k Nishaan
iShQ Ne Sab ko Aza'daar Bana rakha hai,

Sach to Ye hay k khud Apna Mukhalif Main hoon
Khud ko Khud Raah ki Dewaar Bana rakha hai,

Dukh to Ye hay k Wo Saari hi Kahani main Nahi
Hum Ne Jisko Markzi kirdaar Bana rakha hai.

I Never Force You to Love Me,


I Never Force You to Love Me,
I NeveR flirt With Someone To
Make You FeeL AngrY,

I NeveR Warn You To do Not SpeaK To Other,
I Never SaY Don'T do The Thing You Want,

You Are Like A BIRD For Me,
Free to Fly Away Anywhere You Want To Go,
Only Thing You Must To Know
Wherever You Go WhateveR You Do,
When You Decided and Come Back
N FeeL You Need Me, Just RemembeR...!!!

I am Always here For You To Give You Ocean Of LOVE.

Meena Hagho Sara Kawa Che Sa Ihsas Kho Laree,


Meena Hagho Sara Kawa Che Sa Ihsas Kho Laree,

Zargiya Har Insan Pa Meena Bandi Sa Pohegi ?

Pashto Heart Touching Poetry, Pashto Poetry, Heart Touching Poetry, Pashto Sadest Poetry, Picture Poetry, Sad Pictures,


Da Jwandoon Da Halo Zalo Qisey Wawra
Pa Khanda Da Gham-Zghamalo Qisey Wawra,

Da Prado Zulam Ba Bya Darta Bayan Krm
Kho Awal Zama Da Khpalo Qisey Wawra,

Bia Be-Shaka 'Pukhtoon' Staaya Lateefo Ke
Kho Yao Zal Ye Da Khaghalo Qisey Wawra,

Da Ulfat Noom Ba Pa Khula chare Wa-Nakhle
Ta Kho Rasha Lag Da Khkulo Qisey Wawra.

Sta Pa Meena Ke Nor Sa Rata Melaw Shoo?


Sta Pa Meena Ke Nor Sa Rata Melaw Shoo?
Bas Daghona Me Pa Zra Rata Melaw Sho?,

Pa Tamaame Dunyagai Ba Ye Warnakram?
Ka Da Zulfo Di Wekhta Rata Melaw Rho?,

Za Ba Bia Da Sta Da Khar Mahlat Malang Shom?
Ka Wakhtona Bia Zara Rata Melaw Shoo?,

A “Khattaka” Wos Gele Da Cha Na Ma Kra?
Dase Waya Che Bs Khaa Rata Melaw Shoo?.

Meri Dua Hay Mohabbat Mujhay Wo Hasil Ho

Meri Dua Hay Mohabbat Mujhay Wo Hasil Ho 
Usay Jo Khud Se Nekalon Tu Pass Kuch Na Rahay.

Tere Ishq Ne Sarkari Daftar Bana Diya Dil Ko

Tere Ishq Ne Sarkari Daftar Bana Diya Dil Ko
Na Ko Kaam Karta Hay Na Koi Baat Suntha Hay.

Urdu Picture Poetry, Urdu Images Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Sad Poetry,

Itna Na Yaad Aya Karon K Raat Bhar So Na Sakay 
Subah Ko Surkh Aankhon Ka Sabab Pochthay Hay Log.

Heart Touching poetry, Mohabbat Poetry, Love Poetry, Romantic poetry, Romantic Picture Poetry,

Mujhe Mohabbat Hai
Tere Qadmon Ki Aahat Se
Teri Har Muskurahat Se
Teri Baaton Ki Khushbu Se
Teri Aankhon Ke Jaadu Se
Teri Dilkash Adaon Se
Teri Qatil Jafaun Se
Mujhe Ab Bhi Mohabbat Hai
Teri Rahon Me Rukne Se
Teri Palkon K Jhukne Se
Seher-o-Sham Haathon Pe
Tera Hi Naam Likhne Se
Tere Taish-o-Adawat Se
Teri Be-wajah Shikayat Se
Yahan Tak k Aye Meri Jaan
Teri Har Ek Aadat Se
Mujhe Mohabbat Hai
Mujhe Mohabbat Hai.

Chahat main wo ganda nikla

Chahat main wo ganda nikla 
Ishq tu os ka dhanda nikla 
Rokh phair gaya lamhon main
Aisa dil ka wo manda nikla
Chehra us ka jaisay tooq e mah
Lakin man ka wo darinda nikla 
Becharr kar aisay wo ojhal howa 
Kholay aasman ka parinda nikla 
raqeeb howe muqadar k dhani
Naseeb mera kyun tanda nikla
Har ghazal main us ka zikar karna 
Tahir tu wafadar banda nikla.

Good Morning, Good Morning Pictures, Happy Morning, Sunday Morning,

Good Morning Friends 
Have A Nice Day.

Da Jwandoon Da Halo Zalo Qisey Wawra


Da Jwandoon Da Halo Zalo Qisey Wawra
Pa Khanda Da Gham-Zghamalo Qisey Wawra,

Da Prado Zulam Ba Bya Darta Bayan Krm
Kho Awal Zama Da Khpalo Qisey Wawra,

Bia Be-Shaka 'Pukhtoon' Staaya Lateefo Ke
Kho Yao Zal Ye Da Khaghalo Qisey Wawra,

Da Ulfat Noom Ba Pa Khula chare Wa-Nakhle
Ta Kho Rasha Lag Da Khkulo Qisey Wawra.

Sta Pa Khumaar Nasho Nasho Stargo Ghazal Leekama


Sta Pa Khumaar Nasho Nasho Stargo Ghazal Leekama
Nan De Janana Pa De Mrro Stargo Ghzal Leekama,

Za Ka Tre Woor Akhlama Zar Zala De Wakhlama Kho
Pa Dagha Sro Balo Lambo Stargo Ghazal Leekama,

Pa Tash Katho Che Warta Hum Be Hosha Kigi Khalaq
Pa Hagho Dako Paimano Stargo Ghazal Leekama,

Bala Khaista Da Cha Moghalo Stargay Na Khwakhawam
Shaira Za Pa Pukhtano Stargo Ghazal Leekama.

Dak Mehfil De Da Yarano Janaan Mata Gota Nesi


Dak Mehfil De Da Yarano Janaan Mata Gota Nesi
Za Hairaan Warta Walar Yam Che Sok Ta Ta Gota Nesi,

Nan Da Naqal Pa Kitaab K Aqal Gad Da Zaan Pa Veer De
Sok Teyaro Palo Rawaan Di Aow Ranra Ta Gota Nesi,

No Da Kho Ta Ye Da Zra Sara Che Har Zay K Tamasha Ye
KHo Ka Ta Na Ye Sahira Sok Ba Cha Ta Gota Nesi.

Naya ek Rishta paida kyun karein Hum


Naya ek Rishta paida kyun karein Hum
Bicharna hai to jhagra kyon karain Hum,

Khamoshi se ada ho rasm.E.Duri
Koi hungama barpa kyon karain Hum,

Ye kafi hai k Hum dushman nahi hain
Wafa-Dari ka da'awa kyon karain Hum,

Wafa, ikhlaas, qurbani, Mohabbat
Ab in lafzon ka peecha kyon karain Hum.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...